Song#: 103
Movie: aap ki kasam
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
hai jai bolo shiv shankar ki jay
hey jai jai shiv shankar kaanta lage na kankar
ke pyala tere naam ka piya
ho o o gir jaoongi main mar jaoongi
jo tune mujhe thaam na liya
o sau rabadi

ek ke do do ke chaar mujh ko to dikhte hain
aisa hi hota hai jab do dil milte hai
sar pe zameen paanv ke neeche hai aasmaan ho
sau rabadi sau rabadi sau rabadi sau rabadi

o bansi bhaiyya..
o more raja..

kandhe pe sar rakh ke tum mujh ko sone do
masti men jo chahe ho jaye ho ne do
aise men tum ho gaye ho bade beimaan ho
sau rabadi sau rabadi sau rabadi sau rabadi

raste men hum donon ghar kaise jayenge
ghar wale ab hum ko khud lene aayenge
kuchh bhi ho lekin maza aa gaya meri jaan ho
sau rabadi sau rabadi sau rabadi sau rabadi

are bajaao re bajaao imaandaari se bajaao
Song#: 101
Movie: aap ki kasam
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
suno kaho kaha suna kuchh huva kya
abhi to nahi hmmm kuchh bhi nahi
are chali hawa jhuki ghata kuchh huva kya
hmmm abhi to nahi kuchh bhi nahi

teri kasam yeh dilkash nazaaren karte hain ishaaren jo samajhe koi
mere sanam yeh khamosh aankhen bhi karti hain baaten jo samjhe koi
samjha nahin tum samjha do

bas jo chale to subah se lekar rahoon shaam tak main tere sang men
gar ho sake to main apne dil par tera naam likh doon har ek rang men
baaton men na uljhaao

achchha kabhi phir baat chhedenge marzi nahin hai tumhari abhi
kuchh ho gaya to badi hogi mushkil ke chhoti umar hai humari abhi
main kya karoon batla do
Song#: 104
Movie: aap ki kasam
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
chori chori chup ke chup ke
palkon ke peechhe se chhup ke
kah gayi saari batiyaan
ankhiyaan woh ankhiyaan yeh ankhiyaan do ankhiyaan

hothon par tha laaj ka pehra
dhadak gaya yeh dil na thehra
ban gayi prem ki patiyaan

aane ko to neend bhi aayi
kuchh na poochho ram duhaai
jagi saari ratiyaan

laakh chhupaaye meera rani
man mohan ki prem diwani diwani
jaan gayi jaan gayi jaan gayi
ho jaan gayi sab sakhiyaan
Song#: 102
Movie: aap ki kasam
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
paas nahin aana door nahin jaana
tum ko saugandh hai ke aaj mohabbat band hai

pehle tu aag bhadakati hai
phir dil ki pyaas buzaati hai
teri yehi ada to mujh ko pasand hai
achchha haan haan 
magar aaj mohabbat band hai

kitna kitna maza hai aise jeene men
dhak dhak bhi hoti nahi seene men
koi bechaini nahi kitna anand hai
ke aaj mohabbat band hai

mat chhed apne diwane ko
rahne de tu is bahane ko
hothon pe na hai magar dil to razamand hai
razamand hai magar aaj mohabbat band hai
Song#: 492
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
o thehro meri jaan

wada karo nahin chhodoge tum mera saath
jahan tum ho wahan main bhi hoon

chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawan tum ho jawan main bhi hoon

suno meri jaan hans ke mujhe yeh kah do
bheege labon ki narmi mere liye hai
ho jawaan nazar ki masti mere liye hai
hanseen ada ki shokhi mere liye hai
mere liye le ke aayi ho saugaat
jahan tum ho wahan main bhi hoon

mere hi peechhe aakhir pade ho tum kyun
ek main jawan nahin hoon aur bhi to hai
o mujhe hi ghere aakhir khade ho tum kyun
main hi yahaan nahin hoon aur bhi to hai
jaao ja ke le lo jo bhi de de tumhen haath
jahan sab hai wahan main bhi hoon

jawan kaee hai lekin jahan men koi
tum si hanseen nahin hai hum kya kare
o tumhen milu main is ka tumhen yakeen hai
hum ko yakeen nahin hai hum kya kare
aise nahi bhoolo zara dekho aukaat
kisi ka to de na hoga de do mera saath
jahan tum ho wahan main bhi hoon
Song#: 6559
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): kishore kumar
purnima (sushma shreshtha)
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
e mere bete sun mera kahna
chahe dukh hoye hanste hi rehna

tu mere bete kyon roye
aankhiyon ke moti kyon khoye
main tera ghoda main haathi
main tere sukh dukh ka saathi
tera main sahara hoon mera tu sahara hai
jaan se bhi pyara hai aaja aaja

rakhna bharosa us pe sada
jis ne hai sab ko janam diya
kal tera papa rahe na rahe
ab jo kaha phir kahe na kahe
kaha na bhulana tu wohi rakhwala hai
usi ko bulana tu aaja aaja

socha tha aur kya laya
dete huve bhi tharraya
le yeh baisakhi le le re
mere abhage haathon se
kisi ke sahare chal chal mere pyare chal
papa ke dulare chal aaja aaja

e mere papa sun mera kehna
chahe dukh hove hanste hi rehna
Song#: 495
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
na koi dil men samaya
na koi pehlu men aaya
ja ke bhi paas rahi tum bhi
o jaan e jaan jaan e man
janti ho..

kyon tum ne daaman churaya
tum jano main kya bataaoon
mujh men hi kuchh aib hoga
kyon tum pe tohmat lagaaoon
main to yehi kahunga poochho bhi jab bhi

tum jo mujhe de gayi ho
ek khoobsurat nishani
lipta ke seene se us ko
kat jayegi zindgani
main to yehi kahunga poochho bhi jab bhi
Song#: 6558
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
tera mujh se hai pehle ka nata koi
yun hi nahin dil lubhata koi
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na

dhuaan dhuaan tha woh samaa
yahan wahan jaane kahan
tu aur main kahin mile the pehle
dekha tujhe to dil ne kaha
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na

tu bhi rahi mere liye
main bhi raha tere liye
pehle bhi main tujhe baahon men le ke
ghooma kiya aur jhooma kiya
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na

dekho abhi khona nahin
kabhi juda hona nahin
ab ke yun hi mile rahenge dono
wada raha yeh is shaam ka
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na
Song#: 494
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): kishore kumar
purnima (sushma shreshtha)
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
la la la la
tera mujh se hai pehle ka nata koi
yun hi nahin dil lubhata koi
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na

dekho abhi khona nahin
kabhi juda hona nahin
ab ke yun hi mile rahenge dono
wada raha yeh is shaam ka
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na

waade gaye baaten gayi
jaagi jaagi raaten gayi
chaha jise mila nahin
to bhi humen gila nahin
apna hai kya jiye mare chahe kuchh ho
tujh ko to jeena raas aa gaya
jaane tu ya jaane na
maane tu ya maane na
Song#: 4510
Movie: aamne saamne
Singer(s): rahul dev burman
vanita
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
daddy tum chup kyun ho
um nahi to
aunty tum chup kyun ho
main nahi to
main sab jaanta hoon
daddy tum aunty se pyar karte ho

o daddy tum aunty se pyar karte ho
lekin mujh se darte ho
chup shaitaan kahin ka
o aunty tum daddy se pyar karte ho
bura mat manana bachcha hai
kahne do na achchha hai
la la

daddy ki nazar jhukti nahin
aunty ki nazar uthati nahin
peechhe rah gaya sara shahar
gadi yeh kahin rukti nahin
are chalo utaro utaro neeche jaldi
aage aage tum chalo main peechhe peechhe
o chori se tum aankhen chaar karte ho
daddy tum aunty se pyar karte ho

dhokha bhi diya dole nahin
mauka bhi diya bole nahin
dana to bahot daala magar
chidiyon ne munh khole nahin
are lo yeh chocolate aur chup ho jaao
achchha tum mujhe rishwat dete ho
o yane ke tum iqraar karte ho
daddy tum aunty se pyar karte ho

khel khel men baat kya huee
aansoo nikale khoyi hansi
aunty ne mujhe pappi jo di
mummy ki mujhe yaad aa gayi
aunty ko daddy meri mummy bana do
mujh se agar tum pyar karte ho
daddy tum aunty se pyar karte ho
lekin mujh se darte ho
Song#: 4511
Movie: aamne saamne
Singer(s): amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
he meri awaaz ke doston
yeh dosti na toote humari
ban jaaye dushman yeh duniya sari

geeton bhari yeh shaam hai
chhalka yeh dil ka jaam hai
johny hai mera naam yaaron
sab ko mera salaam hai
mehfil ka yeh rang na toote jab tak subah na ho

itna main khush naseeb hoon
jo aap ke kareeb hoon
sharma raha hoon apnon se
main aadmi ajeeb hoon
bas do chaar mulakaten hone do phir dekho

jab tak rahe jawaniyaan
tab tak rahe nishaniyaan
ban jaaye koi aisi baat
jis ki bane kahaniyaan
main tum sab ko yaad karoon sab mujh ko yaad karo
Song#: 4513
Movie: aamne saamne
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
meri pistol ke andar kisi bhi ek goli par
koi paighaam likha hai tumhara naam likha hai

gale mil lo o diwanon juda hone ka waqt aaya
tumhare meherbaanon ke khafa hone ka waqt aaya

tumhari dillagi tauba bani dil ki lagi tauba
kaha karte the tum aksar meri jaan main fida tum par
meri jaan main fida tum par
mubarak ho mubarak ho fida hone ka waqt aaya

sar e tasleem hum kar doon
kaho takleef kam kar doon
mujhe hum dard mat samjho magar bedard mat samjho
magar bedard mat samjho
tumhare saare dardon ki dava dene ka waqt aaya

zara dil saaf kar dena humen tum maaf kar dena
tumhari maut ka ghum hai wafa men fayda kam hai
wafa men fayda kam hai
mohabbat men humare bewafa hone ka waqt aaya
Song#: 4514
Movie: aamne saamne
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
tu main ban gaya main tu ban gaya
badal gaye hum bam chik bam bam
yeh main janoo ya tu jaane 
kaun kaun hai yeh kaun jaane

aamne samne aaye hum aise
dekhta hai koi aaina jaise
tu bhi hairaan hai main bhi hairaan hoon
koi aaye aa ke hum ko pehchaane
kaun kaun hai yeh kaun jaane

do badan do hanseen naujawaan dekho
donon men jaise hai ek jaan dekho
jadoo sa chha gaya dokha main kha gaya
kya karenge log bhala anjaane
kaun kaun hai yeh kaun jaane
Song#: 160
Movie: aamne saamne
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
he mujh ko hawaaon ne roka
mujh ko hawaaon ne roka
dekhe woh kaam kar dastaan kaat kar
itne chahne walon ke dil men samaa gaya

maine kaha tha main aaoonga
wada kiya tha main aa gaya
doston ke dushmanon ke dilon pe chha gaya

karte huve meri baaten 
guzre hazaaron ki raaten
e haseenon suno dil zara thaam lo
phir na kehna zaalim sab ki neenden uda gaya

saara shahar jaanta hai
soorat yeh pehchanta hai
is jahaan men kahin koi mujh sa nahin
main sab ke dil men apni tasveer laga gaya
Song#: 4512
Movie: aamne saamne
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jhoom ke jhoom ke
oonchi neechi palki
paalki nandlal ki
nikli kitni dhoom se
naacho gaao jhoom ke

saari krishna ki dharti hai
dharti pe pag dharti hai
baras ke baras savaari yeh
galiyon se guzarti hai
shaan niraali hai lekin aaj ki ab ke saal ki

sar pe mor mukut saaje
hothon pe bansi baaje
bansi ki dhun sun sun ke
tan dole re man naache
pal pal gat badhati jaaye geet ki sur ki taal ki

yeh duniya anjaan hai
moorakh hai nadaan hai
maakhan chor kanhaiyya ko
choron ki pehchan hai
jhanki se baahar jhanke sau ankhiyaan gopal ki
Song#: 114
Movie: ajnabee
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
bheegi bheegi raaton men
meethi meethi baaton men
aisi barsaaton men kaisa lagta hai

aisa lagta hai tum ban ke baadal
mere badan ko bheego ke mujhe
chhed rahe ho chhed rahe ho

ambar khele holi uee maa
bheegi mori choli
hum joli hum joli

ho paani ke is rele men
sawan ke is mele men
chhat pe akele men kaisa lagta hai

aisa lagta hai tum ban ke ghata
apne sajan ko bheego ke khel
khel rahi ho khel rahi ho

aisa lagta hai tum ban ke baadal
mere badan ko bheego ke mujhe
chhed rahe ho chhed rahe ho

barkha se bacha loon tujhe
seene se laga loon
aa chhupa loon aa chhupa loon

dil ne pukara dekho
rut ka ishara dekho
uf yeh nazara dekho kaisa lagta hai bolo

aisa lagta hai kuchh ho jayega
mast pawan ke yeh jhonke saiyya
dekh rahe ho dekh rahe ho

aisa lagta hai tum ban ke baadal
mere badan ko bheego ke mujhe
chhed rahe ho chhed rahe ho
Song#: 112
Movie: ajnabee
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
hum dono do premi duniya chhod chale
jeevan ki hum saari rasmen chhod chale

e babu kahaan chal pade

hum dono do premi duniya chhod chale
jeevan ki hum saari rasmen chhod chale
o babul ki aaye mohe yaad
jaane kya ho ab is ke baad

gadi se kah do chale tej manzil hai door
thoda safar ka maza lijiye e huzoor
ho dekho na chhedo is tarah
rasta kate phir kis tarah

ho babul ki aaye mohe yaad

jaana kahaan hai bata us shahar ka naam
le chal jahaan teri marzi yeh tera hai kaam
mujh pe hai itna aitbaar
maine kiya hai tum se pyar

aisa na ho tu kabhi chhod de mera saath
phir na kabhi kahna dil tod ne wali baat
o maine to ki thi dillagi
achchha maine bhi ki thi dillagi
Song#: 113
Movie: ajnabee
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
satra baras ki re chhokriya pe buddhe ka dil aa gaya
buddha sathiya gaya buddha sathiya gaya
rama ho rama teri duhaai bura zamana aa gaya
buddha sathiya gaya buddha sathiya gaya

paniya bharan ko panghat pe jab ghunghat maine khola
panihaaran main bhi hoon pyasa buddha hans kar bola
pani ke do ghoont hi pee ke woh masti men aa gaya
buddha sathiya gaya buddha sathiya gaya

prem dagar pe dekh ke tujh ko ho gaya main diwana
saath mujhe le chal mujh ko bhi prem nagar hai jana
chaar kadam jo chala to phuli saans paseena aa gaya
buddha sathiya gaya buddha sathiya gaya

saath baras men buddhe par yun toot ke aayi jawani
are kisi jawan se mujhe bhida ke dekh le meri rani
bech ke ghar apna sone ka haar mujhe pehna gaya
buddha sathiya gaya buddha sathiya gaya
Song#: 493
Movie: aa gale lag ja
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: sahir ludhiyanvi
e mere bete sun mera kahna
chahe dukh hoye hanste hi rahna

rakhna bharosa us pe sadaa
jis ne hai sab ko janam diya
kal tera papa rahe na rahe
ab jo kaha phir kahe na kahe
kaha na bhulana tu wohi rakhwala hai
usi ko bulana tu aaja aaja
Song#: 425
Movie: aandhi
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
is mod se jaate hai
kuchh chust kadam raste
kuchh tej kadam raahen

patthar ki haveli ko
sheeshe ke gharondon men
tinkon ke nashe man tak
is mod se jaate hai

ek door se aati hai
paas aa ke paltati hai
ek raah akeli si 
rukti hai na chalti hai
yeh soch ke baithi hoon
ek raah to woh hogi
tum tak jo pahunchti hai
is mod se jaate hai
Song#: 426
Movie: aandhi
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
tum aa gaye ho noor aa gaya hai
nahi to charagon se lau ja rahi thi
jeene ki tum se vajeh mil gayi hai
badi be vajeh zindagi ja rahi thi

kahan se chale kahan pe mile
yeh khabar nahin thi magar
koi bhi sira jahan ja mila
wohi tum miloge
jahan se tumhari sada aa rahi ti

din dooba nahin raat doobi nahin
jaane kaisa hai safar
khwabon ke diye aankhon men liye
wohi aa rahe the
ke hum tak tumhari sada aa rahi thi
Song#: 105
Movie: aap ki kasam
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
zindagi ke safar men guzar jaate hai jo makaam
woh phir nahin aate woh phir nahin aate

phool khilte hain log milte hain
phool khilte hain log milte hain magar
patjhad men jo phool murjha jaate hain
woh bahaaron ke aane se khilte nahin
kuchh log ik roz jo bichhad jaate hain
woh hazaaron ke aane se milte nahin
umr bhar chahe koi pukara kare un ka naam
woh phir nahin aate woh phir nahin aate

aankh dhokha hai kya bharosa hai
aankh dhokha hai kya bharosa hai suno
doston shaq dosti ka dushman hai
apne dil men ise ghar banane na do
kal tadapna pade yaad men jin ki
rok lo rooth kar un ko jaane na do
baad men pyar ke chahe bhejo hazaaron salaam
woh phir nahin aate woh phir nahin aate

subah aati hai raat jaati hai
subah aati hai raat jaati hai yun hi
waqt chalta hi rahta hai rukta nahin
ek pal men yeh aage nikal jaata hai
aadmi theek se dekh paata nahi
aur parde pe manzar badal jata hai
ek bar chale jaate hain jo din raat subah shaam
woh phir nahin aate woh phir nahin aate
Song#: 111
Movie: ajnabee
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ek ajnabee haseena se yun mulaqat ho gayi
phir kya huva yeh na poochho kuchh aisi baat ho gayi

woh achanak aa gayi yun nazar ke samne
jaise nikal aaya ghata pe chaand
chehre pe zulfen bikhri huee thi 
din men raat ho gayi

jaan e man jaan e jigar hota main shayar agar
kahta gazal teri adaaon par
main akela tha magar ban gayi woh hum safar
woh mere saath ho gayi

khoob surat baat yeh chaar pal ka saath yeh
sari umar mujh ko rahega yaad
maine yeh kaha to mujh se khafa woh
jaane e hayaat ho gayi
Song#: 459
Movie: angoor
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
hothon pe beeti baat aayi hai
wada nibhane ki raat aayi hai

ho yaad to hogi kuchh bhooli bisri
aise hi barsi thi chaand si misri
chaand ko chabane ki raat aayi hai

yaad hai us din barish bhi thi
chhat pe bheege khwaish bhi thi
chhat pe jaane ki raat aayi hai
Song#: 429
Movie: angoor
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
roz roz daali daali kya likh jaay 
bhanwra baawra baawra
kaliyon ke naam koi likhe paigaam koi
baawra bhanwra baawra

beete huve mausam ki koi nishani hogi
pa ma pa ma ga ma ga re ga ni re ni ma ga re pa
dard purana koi yaad purani hogi
koi to dastaan hogi na

hoga koi waada hoga waada nibhata hoga
shakhon pe likh kar yaad dilata hoga
yaad to aati hi hogi na
Song#: 458
Movie: angoor
Singer(s): sapan chakravarti
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
pritam aan milo
ho dukhiya jeevan kaise bitaaoon
pritam aan milo

raat akele dar lagta hai
jungle jaisa ghar lagta hai
chalti hai jab tej hawaaen
lehrata hunter lagta hai
kitne hunter khaoon pritam aan milo

birha men koi bol raha hai
peeda ka ras ghol raha hai
phir se jaan lobon par aayi
phir koi ghunghat khol raha hai
mukhda kaise chhupaaoon pritam aan milo
Song#: 150
Movie: alibaba aur 40 chor
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jadugar jadoo kar jayega
kisi ko samajh nahi aayega
o marjina naach haseena
mushkil kar de sab ka jeena
nahin to nahin to
jadugar jadoo kar jayega

nachegi teri jawani
dekhegi duniya diwani
har cheez hai mere bas men
kya aag hai kya hai pani
are chhoo mantar chhoo dekh idhar tu
pahan le in ko le ye ghunghroo
varna gazab ho jayega

mana tujhe maine mana
tu jadugar hai diwana
bebas mujhe kar diya yun
thehra hai sara zamana
bas had kar di o bedardi
kab tak mujhe tadapayega

kismat ka chamka sitara
tu ne mujhe jab pukara
chup chaap tu nachti ja
jab tak karun main ishara
o tere kadamo men yeh sar hai
tu hai to phir kis ka dar hai
jo hoga dekha jayega
Song#: 151
Movie: alibaba aur 40 chor
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
khatuba khatuba oo khatuba
kitne diwane mere
itne diwanon men se
kis ki banoon main mehebooba
aa aa aa aa aa aa

woh kaun hai jis ki main hoon diwani
ho hai woh yahin woh sanam mera dil jaani
tu hai woh tu nahi tu hai woh tu nahi
teri aankhon men dil dooba

jo mera dil meri jaan sab se bachaay
ha woh mera dil meri jaan sab le jaay
tu hai woh tu nahi tu hai woh tu nahi
teri aankhon men dil dooba

ya tum kaho main kise doon yeh baahen
ya main kahoon kis pe hai meri nigaahen
tu hai woh tu nahi tu hai woh tu nahi
teri aankhon men dil dooba
Song#: 153
Movie: alibaba aur 40 chor
Singer(s): asha bhosle
lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
saare shahar men ek haseen hai
aur woh main hoon koi aur nahin hai
tu na udhar dekh dekh idhar dekh
tu na udhar dekh yaar idhar dekh

pyar karega mujh se agar tu
yaad karega saari umar tu
phir kisi ka naam na lega tu kabhi mujh ko yakeen hai

ho o o
saare shahar men..

sab ki nigaahen mujh pe jhuki hai
teri nigaahen kis pe ruki hai
dekh zara aisi ada aisi nazar aur kahin hai

mere sanam ke paas na aana
tera sanam hai mera diwana
main hu kahan tu hai kahan main hoon falak aur tu zameen hai
Song#: 152
Movie: alibaba aur 40 chor
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aaja aaja aaja aaja
aaja sar e bazaar tera pyar bik raha hai
inkaar bik raha hai ikraar bik raha hai

rasm e wafa jahan men badnaam ho rahi hai
parda nasheen haseena nilaam ho rahi hai
nilaam ho rahi hai
galiyon men aaj us ka deedar bik raha hai

duniya meri wafa ki keemat laga rahi hai
meri jawaan mohabbat aansoo baha rahi hai
aansoo baha rahi hai
ashkon se jo bana hai woh haar bik raha hai

ulfat men jis ko dil ki har aarzoo se seencha
furkat men jis ko hum ne apne lahoo se seencha
apne lahoo se seencha
ab ke bahaar men woh gulzaar bik raha hai
Song#: 154
Movie: alibaba aur 40 chor
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
dil men jo baat hai woh hothon pe aayegi to
tauba tauba tauba ho jayegi
qayamat qayamat qayamat qayamat
qayamat qayamat qayamat

khushiyaan mubarak ho yaaron ko
samjho nazar ke isharon ko
neechi nigaahen jab meri uth jayegi to
tauba tauba tauba ho jayegi

phoolon ke jab dil sulagte hai
shabnam se shole nikalte hai
ab ke bahaar jab gulshan men aayegi to
tauba tauba tauba ho jayegi

yun log surat chhupate hai
chehre pe chehra lagaate hai
rukh se haseena jo parda hatayegi to
tauba tauba tauba ho jayegi
Song#: 499
Movie: anokha rishta
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ho chal saheli jhoom ke hum geet koi gaate hain
mast pavan ke pankh laga ke hum panchhi ban jaate hain
la la la la

dekho to in kaliyon ko
bhanwron ki rang raliyon ko
mausam ne sajaya hai
is gulshan ki galiyon ko
jab jab phool khile gulshan men
yeh dil bhi khil jaate hain

chhede zara fizaaon ko
pakade mast hawaaon ko
ji chahe chhoo kar dekhe
hum ghan ghor ghataaon ko
dekhen to yeh kaale baadal
kaise yun lehrate hain

sathi nahin hai kum apne
sari khushiyaan ghum apne
upar apna ek khuda
neeche hum dum hum apne
duniya hum ko thukraye hum
duniya ko thukrate hain
Song#: 501
Movie: anokha rishta
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
tune yeh jana ek kanta lagne se
main ghayal ho gayi ho main ghayal ho gayi
kaanta to nikal gaya kaanta to nikal gaya
par tere chhoone se 
main paagal ho gayi ho main paagal ho gayi

tere haathon se mere ang ang men
bijli si daud gayi
sharm se simat gayi tujh se lipat gayi
main duniya chhod gayi
ho par tu na jaana tune ye jana
ek kanta lagne se main ghayal ho gayi

main anjaan sahi main nadaan sahi
par tu nadaan nahi
tan ki ho to ho par man ki tujh ko
kuchh bhi pehchaan nahi
ho tu hai diwana tune yeh jaana
ek kanta lagne se main ghayal ho gayi

main kaisi bhi hoon main jaisi bhi hoon
sweekar mujhe kar le
main sach kahti hoon kahti rahti hoon
tu pyar mujhe kar le
ho mujh ko sataa na tune yeh jaana
ek kanta lagne se main ghayal ho gayi
Song#: 500
Movie: anokha rishta
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aaj ka din na jane kyun achchha lagta hai
jeevan sapna sahi par sachcha lagta hai 
ho o o

hum bhi yahaan tum bhi yahaan
milte hain roz aise log kahaan
ho mehfil men har koi kuchh kahta lagta hai

yeh aankh to anjaan hai
dil ko dilon ki lekin pehchaan hai
dekhen jo pyar se woh pyara lagta hai

moorat hai kya surat hai kya
dil se jiyada khoob surat hai kya
jaisa ho dil yeh chehra vaisa lagta hai
Song#: 498
Movie: anokha rishta
Singer(s): amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
mary tu meri ho ja
aa mere dil ki galiyon men kho ja
yes yes mary i love you
mary i will marry you

chhup ja meri baahon men
bas ja meri nigaahon men
ek duje ke hum sathi
is jeevan ki raahon men

mary you are wonderful
mary you are beautiful
yeh duniya ghum ka dariya
tu meri khushiyon ka pool

teri yaad satati hai
dil ka chain udati hai
sara din tadapati hai
sari raat jagati hai
Song#: 100
Movie: aap ki kasam
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
o ho ho
karvaten badalte rahe saari raat hum
aap ki kasam aap ki kasam
ghum na karo din judaai ke bahot hai kam
aap ki kasam aap ki kasam

yaad tum aate rahe ek bhookh si uthti rahi
neend mujh se neend se main bhaagti chhupti rahi
raat bhar bairan nigodi chandni chubhati rahi
aag si jalti rahi girti rahi shabnam
aap ki kasam aap ki kasam

jheel si aankhon men aashiq dub ke kho jayega
zulf ke saaye men dil armaan bhara so jayega
tum chale jaao nahi to kuchh na kuchh ho jayega
dagmaga jayenge aise haal men kadam
aap ki kasam aap ki kasam

rooth jayen hum to tum hum ko mana lena sanam
door ho to paas hum ko tum bula lena sanam
kuchh gila ho to gale hum ko laga lena sanam
toot na jaye kabhi yeh pyar ki kasam
aap ki kasam aap ki kasam
Song#: 553
Movie: ashanti
Singer(s): asha bhosle
amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
dil diya hai maine dil liya hai
ya ya yaad rakhna
are haan kisi se maine pyar kiya hai
ya ya yaad rakhna
mere dilbar ka jaan e jigar ka
mere dil pe naam likha hai

meri mohabbat ke liye pyar bhara dil laaye ho
mujh ko magar afsos hai tum zara der se aaye ho
haath kisi ne mera thaam liya hai
ya ya yaad rakhna

meri nigaahon pe teri zulfon ka baadal chha gaya
jhoom ke baadal ki tarah tera diwana aa gaya
dil ne tujhe phir yaad kiya hai
ya ya yaad rakhna

sab ki nazar ke samne duniya yeh kahna hai
tum se juda ho kar humen duniya men nahin rahna hai
jaan se bichhad kar kaun jiya hai
ya ya yaad rakhna
Song#: 4508
Movie: ashanti
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
shailendra sing
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
na tujh se na mujh se
na mujh se na tujh se
hum se yeh duniya
are main bin tere tu bin mere kya 
o sathiya ho o sathiya

tera sahara ban jaaoon main
mera sahara tu ban ja
main nadiya ki dhara banoo
mera kinara tu ban ja
dhadke tera dil to dhadke mera jiya
o sathiya ho o sathiya

ho mere bina yeh kis kaam ki
is ke bina main kis kaam ka
meri ya botal ki baat hai
ashiq hai tu kis ke naam ka
dil aadha aadha donon ko hum ne diya
o sathiya ho o sathiya

do haathon se yeh taali baje
mehfil akele se na saje
sab ho magar jo ik tu na ho
tere bina yeh jee na lage
baati na ho to kaise jale yeh diya
o sathiya ho o sathiya
Song#: 497
Movie: aawaara baap
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: vishweshwar sharma
bin manzil ka raahi hoon main
apni manzil aap hoon
awaara baap hoon awaara baap hoon

mujhe khushi ne gale laga kar ghum ke ghar men chhoda
har raahi ne maar ke patthar sheesha e dil toda
maine dil ke tukde chun kar phir se dil kyun joda
dekh ke apne dil ke tukde roya raaton raat hoon

koi na samajhe koi na jaane main kyun huva awaara
kya khoya hai jise dhoondhne phiroon main maara maara
apnon se begana kar gayi waqt ki behti dhara
aahon ka toofaan kabhi main ashqon ka sailaab hoon

meri haalat dekh ke koi meri hansi udaaye
mere dil ke zakhm kurede un pe namak giraaye
aise humraahi se koi kaise saath nibhaaye
maine us pe kiya bharosa is liye barbaad hoon
Song#: 496
Movie: aawaara baap
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: vishweshwar sharma
dil ke dushman pe dil aaya
aakhen mili to dil men samaaya
yaad men us ki raat ko roye
na woh soya na hum soye

zindagi ke mod pe hum mile is tarah
jaise ek musafir poochhe duje ka pata
dekh ke socha ab kahaan jaana
yehi hai manzil yehi hai thikana

jeene ko to abhi tak jiye the akele
achchhe kahaan lagte the duniya ke mele
saathi bina zindgani saza hai
aayi hai jawani to pata yeh chala hai

aaj un se mulakat apni hai dooji
milne ki dobara jaane kyun soozi
kyun na mulakat aage badha le
apna apna dard mita le
Song#: 5098
Movie: aawaara baap
Singer(s): asha bhosle
amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: m g hushmat
umr saari humari tumhen saunp dee
tum humen saans bhi ek de na sake
zindagi bhent kar di umangon bhari
baahon men humen tum le na sake

hum ne socha tha samajho ke tum bhi kabhi
kuchh humare dil ki bhi pareshaaniyaan
warna jaana kabhi tum ne hoti hai kya
muskurate dilon ki yeh veeraaniyaan
pyaas saagar samajh kar tumhen dee magar
ghoont bhar paani tum humen de na sake

gar ishara tumhara paate kabhi
to yeh kadamon men aa ke bichha dete hum
ab ke dil ko abaad kar dete yun
apne sapnon ki mehfil sajaa dete hum
hum ne chaha tumhara sahara magar
aasra tum humen hay de na sake

hum ko maloom hai ek mohabbat bhara
dil tumhare bhi seene men rota rahe
par tumhen kya pata hum to be dil huve
jaan hai jism jis se yeh jeeta rahe
ek khushi ke liye hum loote is tarah
phir khushi aur koi bhi le na sake
Song#: 157
Movie: amar prem
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
chingari koi bhadke to saawan use buzaaye
saawan jo agan lagaaye use kaun buzaaye
patjhad jo baag ujaade woh baag bahaar khilaaye
jo baag bahaar men ujade use kaun khilaaye

hum se mat poochho mandir toota sapanon ka
logon ki baat nahin hai yeh kissa hai apnon ka
koi dushman thes lagaaye to meet jiya behlaaye
man meet jo ghaanv lagaaye use kaun mitaaye

na jaane kya ho jata jaane hum kya kar jaate
peete hain to zinda hain na peete to mar jaate
duniya jo pyasa rakhe to madira pyas buzaaye
madira jo pyas lagaaye use kaun buzaaye

maana toofan ke aage nahi chalta zor kisi ka
maujon yeh dosh nahin hai yeh dosh hai aur kisi ka
manjdhaar men naiyya dole to maanzi paar lagaaye
maanzi jo naav duboye use kaun bachaaye
Song#: 233
Movie: andar baahar
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
kaise kaise hain mere meherbaan
aankhon se karen haal e dil bayaan
yun na mujhe dekho sanam 
tum to le loge meri jaan

kaash na hoti itni haseen main aur na hoti jawaan 
yeh to na hota are yeh to na hota
har koi hai aashiq mera bach ke jaaoon kahaan
ab kya hoga are ab kya hoga

kis ke gale ka haar banegi baahen meri hanseen
main kya jaanoo hoy main kya jaanoo
kis ko mera dil pyar karega hoga wohi kahin
mera jaanoo ho mera jaanoo
Song#: 230
Movie: andar baahar
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
meri aankhon men zara jhanko to
kya kahti hain jaan lo
kaun apna hai kaun begana
bhari mehfil men pehchaan lo

aaj to zindagi ka faisla hai
kitna kareeb aa ke faasla hai
raaz aankhon ke rahe aankhon men
ek ishara hai maan lo

soch yaari men jo milega yahaan
khilta shabab yeh paaoge kahaan
jo bhi hona hai woh to hoga hi
jaan le ne ki thaan lo
Song#: 195
Movie: agar tum na hote
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
humen aur jeene ki chaahat na hoti
agar tum na hote agar tum na hote

tumhen dekh ke to lagta hai aise
bahaaron ka mausam aaya ho jaise
dikhayi na deti andheron men soti
agar tum na hote agar tum na hote

humen jo tumhara sahara na milta
bhanwar men hi rahte kinara na milta
kinare pe bhi to lehar aa duboti
agar tum na hote agar tum na hote
Song#: 581
Movie: aan aur shaan
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
diya hum ne dil tum ko apna samajh kar
na jaana sanam tum bade aadmi ho
ke yeh dillagi hogi dilbar tumhari
lutenge to hum tum bade aadmi ho

socha tha basengi dil men nazaren tumhari
chhoti si kahin pe hogi duniya humari
par kya mila ab meri zindagi ko
ke yun hi nahin tum se darta hai yeh dil
tumhari kasam tum bade aadmi ho

main hoon woh shama jalti hai jo gali men
mehlon men aa ke kaise lagoongi bhali main
soche yehi kya karoon apne jee ko
hum hai zameen aur tum aasmaan ho
mile kaise hum tum bade aadmi ho
Song#: 583
Movie: aan aur shaan
Singer(s): asha bhosle
mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
ganga ban jaoon kaho jamuna ban jaaoon more raja
lagi tujhe pyaas to phir door kahin na ja na ja

ganga ban jaao chahe jamuna ban jaao meri radha
bujhe tabhi pyaas ke tu sang mere aaja aaja

gaanv men rah jayega bada maza aayega
karega tu kheton men kaam
lagegi jo dhoop tujhe chhaya wohi daal doongi
apna aanchalwa thaam
are lagegi bhookh to main roti laoongi more raja
lagi tujhe pyaas to phir door kahin na ja na ja

aaja tu bhi dekh kya hai sapna mera
rangeen zindagi ho meri teri
doonga din rain tujhe mehlon ka chain meri radha
bujhe tabhi pyaas ke tu sang mere aaja aaja

main to kahoon sun piya mile agar dil piya
phir apne din apni rain
sahar ho ya gaanv balam jahaan rahe pyar se hum
hai wohi mehlon ka chain
are thaamo yeh haath badi sachchi yeh baat meri radha
jahan rahe dono sada sang rahe aaja aaja
Song#: 582
Movie: aan aur shaan
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
ho haseenon ki yeh shaam hai
he haseen koi baat chale
ha savere tak aaj to
he suhani mulakat chale

kahte hai yeh zindagi sapna hai ek shaam ka
to yeh sapna kyon na ho tere mere naam ka
ha bujhe dil ki pyaas aaj si chhaanv tale

jis ke itne rang ho woh matwala kaun hai
hum se bad kar aaj to kismat wala kaun hai
jhoom ke apne saath din chale raat chale
Song#: 580
Movie: aan aur shaan
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
sahari babu hai mera yaar
chiththi ke badle bheja taar
o jaani teri kasam o jaani
tere bin jiya lagena

kaise sajan tujhe bataaoon
tere dil ki dava nahin main
itni baahen mere gale men
laayak tere piya nahin main
gali gali bole meri paayal ki jhankaar

sahari babu hai tera yaar
chiththi ke badle bheja taar
are o jaani teri kasam o jaani
tere bin jiya lagena

dekha sada jise khabon men
bilkul kasam se hai wohi tu
jaan e ada jaan e tamanna
ab tak jaane kahan rahi to
tere bina soona soona laage yeh sansaar

jyada taane nahin diwana
itna jaane ke tum meri ho
dekho botal kahin nashe ki
jhoothe rangon se na bhari ho
are pyar kabhi jhootha nahin hota hai dildaar
Song#: 586
Movie: aanchal
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
bas meri jaan bas maan le meri baat
aaj teri dor hai humare haath
ho matwale dar to yahi hai
tujh se kahin yeh dori chhoot na jay
are aisa bhi kya tera mera hai zindagi ka saath

bas meri jaan bas maan le meri baat
dekh aise na chal humare saath

bas meri jaan bas maan le meri baat
dekh aise na chal humare saath
diwana main bhi hoon aisa 
sang tera na chhodu chahe jiya jay
ab laut ja o re piya jodu main tere haath
bas meri jaan bas kaahe jode haath
dar tujhe kis ka main hoon tere saath

bas meri jaan bas kaahe jode haath
dar tujhe kis ka main hoon tere saath
ho maan bhi ja o more saiyya
dhadke jiya koi aa hi na jay
are aaye koi main to yun hi chahu tujhe din raat

hans meri jaan hans yeh huee na baat
dar tujhe kis ka main hoon tere saath
Song#: 584
Movie: aanchal
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
bhor bhaye panchhi dhun yeh sunaaye
jaago re gayi ritu phir nahi aaye

panghat jage gaanv ki har gali jaagi
gori kahin aur kahin saanwali jaagi
aanchal ki chhaiyaa apne saiyaa ko bolaye

main bhi wohi hai jahaan mohna mera
madhuban mera to yehi aangna mera
yeh dar na chhoote chahe duniya chhoot jaye
Song#: 589
Movie: aanchal
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
jane de gadi teri jane de
apna bhi hai donon paanv re
ho itna magar nahin bhulna bhulna
ek hai tera mera gaanv re

are tel bina babu
tel bina babu ho jayegi bekabu
kis roz tere chhakade ki chaal
us din phir aaoongi re dekh ne ko main bhi tera haal
wah re wah dekho kaisa aith gaya dhat

mana teri soorat kuchh aisi nahin phir bhi
tujh men hai alag thodi si baat
main kuchh na boloongi re chahe tu aaja mere saath
do kadam chala nahin baith gaya dhat wah wah

socho nahin paagal main kitna chalu paidal
raste hi men na ho jaye saam
kar sakta yeh bhi nahin ke badh ke leta mujhe thaam
be saram baitha baitha let gaya dhat wah wah wah
Song#: 588
Movie: aanchal
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
chal ghode chal ghode chal chal chal
he..aisa rangeen samaa haye re
ab to kahin se koi aaye re
saathi na yaar koi zagda na pyar koi
raahi akela chala jaaye re

hum to chale soch ke purab wale thaam
paschim chala jaaye humra gulfam
phir bhi humara yaar chalta to hai
phir nahin tum se hilta to hai
ho kaisa dole re kaisa lehraye

bhagwan balihari main wari
is ki mundi to thikane par aa gayi

are hum bhi man ke raja apni bhi hai saan
ghode pe hawa ke nikle seena taan
par jaise ho nadiya paani bina
raja adhura rani bina
ho jeevan aadha to diya re bitaaye
Song#: 587
Movie: aanchal
Singer(s): kishore kumar
sapan chakravarti
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
lanka chale ram ji raavan se yudh karne
ki vaanar sena saath chali

chalte chalte khatam ho gayi dharti tab saagar aaya
gehra saagar dekh dekh ke sena ka sar chakaraya
yehi soch kar kaise ab jaaye aage
tukur tukur tab saare fauji ram ka mukh dekhan laage
Song#: 585
Movie: aanchal
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
paise ka kaajal daike na lo humri jaan
laakhon ki hai humri jaan babuva
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki na na na

naina hai chanchal kaise na manenge baat
ho hum ho gaye hai jawaan babuva
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki na na na

mele men bhi hum akele hai tum humre sang aao na
are phir jate jate yeh chhalla nishani men de jaao na
chhalla mera na mehenga pade
loot jaaoge khade hi khade
bachaaye tumhen raam
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki na na na

jeevan se jaaoge saiyaa jo hum se nazar mil gayi
ho kitni dafa humre kaaran yehi pe chhuri chal gayi
are hum dilwale bhi dikhlayenge
dekh lena tum ko le jayenge
bachaaye tumhen raam
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki na na na

main jo is aanchal ko chhodu to jag men raha kya mera
are duniya ko maloom kya hai jo tum se hai naata mera
sab hai jhootha gharana tera
harjaai kya hai thikana tera
sikhaye tujhe raam
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki zik ki naki
zik ki naki na na na
Song#: 552
Movie: aar paar
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
haan jaiyo na jaiyo na door
humre jiya men rahiyo ban jaiyyo jaan
ho din dekhe raat dekhe
humen saath saath dekhe saara jahaan

tum mere manjhi main hoon manjhi ki naiyya
ho janam janam ke saathi naiyya khivaiyya
beech bhanwar jo chhode ho beech bhanwar jo chhode
saath jo saathi tode woh beimaan

dekhenge kisi din tum se hum door ja ke
dekha tha hum ne ek din tum ko bhoola ke
tum yaad aaye aise ho tum yaad aaye aise
nadiya men aaye jaise koi tufaan

humen in ankhiyon ka kaajal bana lo
kaajal ko chhodo hum ko dil men basa lo
tum bin lage jee aise ho tum bin lage jee aise
koi soona soona jaise khaali makaan
Song#: 5088
Movie: aar paar
Singer(s): rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ho manjhi teri naiyya se chhuta kinara
kahaan le chali samay ki dhara

bichhad gaye sab tere apne
ujad gaye sab sundar sapne
ho manjhi tera khel bigad gaya saara
kahaan le chali samay ki dhara

ho dosh na de tu in maujon ko
kuchh mat bol tu sab logon ko
ho manjhi tujhe tere naseebon ne maara
kahaan le chali samay ki dhara

pat vaadon ko tod gaye hain
beech bhanwar woh chhod gaye hain
o majhi tu ne jis ko bhi paar utaara
kahaan le chali samay ki dhara
Song#: 5087
Movie: aar paar
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
kaun se dariya kaun si nadiya ki tu rahne wali
dekh machhere jaal men mere fans gayi kaun yeh saali

bach ke bach ke bach ke
dariya men na aag laga de le kar yeh angdaai
pariyon ke des se koi pari bhaag aayi
pari bhaag aayi
hothon andar dabi huee hai pyar bhari ek gaali

dharti pe aa gira gagan se koi chaand ka tukda
apne shahar men to nahin aisa mukhda
nahin aisa mukhda
mukhde pe thoda gussa thodi si sharam ki laali

bheege badan se choli chunri lipti lipti jaaye
laaj ke maare gori simti simti jaaye
simti simti jaaye
rang gulabi ang sharabi chaal badi mat wali
Song#: 5089
Movie: aar paar
Singer(s):
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
kaun se dariya kaun si nadiya ka tu rahne wala
subah savere jaal men mere fans gaya kaun yeh saala

mere samne tu baithe main soorat teri niharoon
socha kis naam se main tujh ko pukaroon
main tujh ko pukaroon
kitna achchha kitne naamon se yeh naam nikala

main ladki hoon ladki koi machhli nahin machhere
tujh ko hi faans liya jaal men tere
jaal men tere
tere hi pinjre men dekha band tujhe kar daala

chori chori chup chup ke ki tu ne kitni dhaarten
meethi meethi pyar bhari rang bhri baaten
aaj huva kya aaj laga hothon pe chup ka taala
Song#: 109
Movie: abdullah
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
bheega badan jal ne laga
mausam badal ne laga
jaise armaan koi jaise mehmaan koi
dil men machal ne laga

jaan ki dushman jawani
jaane yeh aag hai ya paani
ho halki halki jalan
meethi meethi chubhan
hay dum nikal ne laga

koi chilman na koi parda
koi dekhe to kya ho tauba
ho lay dil darne laga
dhak dhak karne laga
jadoo sa chalne laga
Song#: 107
Movie: abdullah
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
e khuda har faisla tera mujhe manzoor hai
samne tere tera banda bahot majboor hai

har duva meri kisi deewar se takra gayi
be asar ho kar meri fariyaad waapas aa gayi
is zameen se aasmaan shaayad bahot hi door hai
samne tere tera banda bahot majboor hai

ek gul se to ujad jaate nahin phoolon ke baag
kya huva tu ne buza daala mere ghar ka chiraag
kum nahin hai roshni har shay main tera noor hai
samne tere tera banda bahot majboor hai
Song#: 110
Movie: abdullah
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jashn e bahara mehfil e yara abaad rahe
ho aaj ki raat sab ko yaad rahe

yeh mohabbat yeh jawani
yeh nazar aur yeh nazara
kaun samajhega kisi ne
kya kiya kis ko ishara
raks yeh jaari rahi yeh nasha taari rahe
mere mehmaanon ka dil shaad rahe

ho aankhon aankhon men wafa ka
ik afsana bana hai
shamma parwana mile hai
ishq diwana bana hai
roshni hai door tak kal subah ke noor tak
hothon pe mubarak baad rahe
Song#: 108
Movie: abdullah
Singer(s): manna dey
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
lalla allah tera nigebaan
mera dil meri jaan tere qurbaan

meri aankhon men teri khushi
mere hothon pe teri hansi
o tu ne aa ke meri baahon men
meri khaali jholi bhar di
ban gaya sehra koi gulsitaan

tere dum se hai yeh dil shaad
tu hi tu hai bas khuda ke baad
tera diwana hai abdullah
tere bin nahin hai kuchh yaad
ban gayi zindagi teri dastaan

mera chhota sa hai tu sanam
mera vaada tu meri kasam
ho ja jaldi se tu naujawaan
baki meri hai umar kam
hai yehi aakhri mera armaan
Song#: 443
Movie: adhura aadmi
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
la la
tum se hi to shuru hai
khatam bhi tum par hogi
zindagi ki kahani mere devta

dharti jaise dharti
yeh sooraj ke har pal kare phere ghoom ke
sukh ho chahe dukh ho
sang sang tere aise hi chaloongi jhoom ke
sada tumhara banoo sahara maangu yehi main duva

tere jeevan men
ban ke kiran teri kasam bikhrungi sada
tere kadamon ke
kaante saare palkon se chun loongi main piya
janam k naata jo tum se baandha banda rahega yeh sada
Song#: 106
Movie: abdullah
Singer(s): mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
maine poochha chaand se 
ke dekha hai kahin mere yaar sa hanseen
chaand ne kaha chandni ki kasam
nahi nahi nahi

maine yeh hijaab tera dhoondha
har jagah shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochhi
phoolon men jawab tera dhoondha
maine poochha baag se 
falak ho ya zameen aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam
nahi nahi nahi

ho chaal hai ke mauj ki rawani
zulf hai ke raat ki kahani
hoth hai ke aaine kanwal ke
aankh hai ke maikdon ki raani
maine poochha jaam se
falak ho ya zameen aisi main bhi hai kahin
jaam ne kaha maikshi ki kasam
nahi nahi nahi

khub soorti jo tu ne paayi
loot gayi khuda ki bas khudaai
meer ki gazal kahoon tujhe main
ya kahoon khayam ki rubaai
main jo poochhoon shayron se
aisa dil nasheen koi sher hai kahin
shayar kahe shayri ki kasam
nahi nahi nahi
Song#: 444
Movie: adhura aadmi
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
hay re aaj ki raina dhale na dhale na ha na ha na
jhoom jhoom ke aaye kahaan
baar baar aisa yeh samaa
roz roz kisi ko yahaan aisa haseen mauka mile na

aaj ghani taaron ki chhaanv men
khoyi hoon main sapnon ke gaanv men
laao koi payal naachu ban ke paagal
jhoom jhoom ke aaye kahaan

pankh chalo kaat de is raat
rang jame aur mulakat ke
yeh pal hai suhane aage ram jaane
jhoom jhoom ke aaye kahaan
Song#: 442
Movie: adhura aadmi
Singer(s): asha bhosle
rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
jani tum haseen ho jani tum jawaan ho
sab ka dil ho sab ki ho jaan

hum ko sabhi log baba kahta hai jaani
kaise apun man bachayenga jawani

jis ne kaha jo tanhaai men hum ko
hum to by god nahin bolega
raat ki baaten mulakat ki baaten
are kay ko apun raaz yahaan kholega
are chhede sabhi wohi gheesi peeti kahani

chhod do hum ko bahot darta hai hum to
soch ke yeh baad men kya hoyenga
hum jo fasenga yahaan log hasenga
are aur akele men apun royenga
hum na lenga hum na denga koi nishani
Song#: 396
Movie: ameer aadmi garib aadmi
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
aisa kyun hota hai aisa kyun hota hai
koi hansta hai koi rota hai

daulat walon ke haathon men
har din hum bikte hain
baste baste yahi sab ki
taqdeeren likhte hain
meri teri mehnat ka yun sauda kyun hota hai

mera tera khoon pasina
sikkon men dhalta hai
phir bhi apne ghar men chulha
kum kum hi jalta hai
meri teri jaan ka dushman paisa kyun hota hai

jaane kyun paida hote hain
jaane kyun marte hain
jab tak jeete hai jeene ka
karz ada karte hain
be maqsad bekaar jeena marna kyun hota hai

kheton se jo fasl ugaayen
bhookhe kyun rahte hain
kapdon ke jo dher lagaye
nange kyun rahte hain
duniya ka kanoon hamesha andhaa kyun hota hai
Song#: 393
Movie: ameer aadmi garib aadmi
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
paas rahta hai door rahta hai
koi dil men zaroor rahta hai

kis ki aankhen hain meri aankhon men
wohi soorat hai saare chehron men
hosh men bhi suroor rahta hai
koi dil men zaroor rahta hai

jab jawani nashe men dhalti hai
roshni saath saath chalti hai
har andhere men noor rahta hai
koi dil men zaroor rahta hai

pyar jis ko naseeb hota hai
woh bhi kya khush naseeb hota hai
zindagi bhar guroor rahta hai
koi dil men zaroor rahta hai
Song#: 392
Movie: ameer aadmi garib aadmi
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
har ek rasta saja ke chal
kisi ko hum safar bana ke chal

mere dil men to meri chaahat hai
yahi chaahat hi meri daulat hai
yun na milegi har khushi
kisi ke saath dil laga ke chal

sari mehfil men ek chehra ho
tu kisi ka ho koi tera ho
bhar le nazar men yeh roshni
yeh roshni jala jala ke chal
Song#: 134
Movie: anand aur anand
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
mere liye soona soona
sara jahaan soona soona
mera kahin koi nahin
jaaoon to jaaoon kahaan main kahaan main kahaan

chaand jaaye sooraj aaye le ke yeh savera
hai meri zindagi men har pal andhera
dekhoon jahaan chhaya dhuaan
jaaoon to jaaoon kahaan main kahaan main kahaan

kho ke tujh ko tanhaa maine kaise din bitaaye
jis ke dil pe beete yeh wohi jaan paaye
sooon jahaan jaagoon jahaan
tujhe pukaroon wahaan main wahaan main wahaan
Song#: 133
Movie: anand aur anand
Singer(s): abhijeet
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
main aawaara hi sahi
dil mere dil jaisa dekha na hoga kahin

dil mera jaane tere bahaane
jhoothi teri be rukhi
dil ki sachchaai gayi na chhupaai
hothon pe aayi hansi
ho gussa hai chahat ka pehla kadam
tum jaane kya jaano kya hai yeh diwangi

duniya men dekhe husn to hazaaron
koi tere jaisa kahaan
ho sadiyon men aaye ek baar koi
meheboob aisa yahaan
dharti pe utari hai koi pari
tum jaisi pariyon pe marna hai aadat meri
Song#: 132
Movie: anand aur anand
Singer(s): lata mangeshkar
abhijeet
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
nasha hai ho mujhe bhi tumhara
mujhe nasha tera tujhe nasha mera
nashe men dil mera haara

nasha hai ho mujhe bhi tumhara
mujhe nasha tera tujhe nasha mera
nashe men dil main to haara

main jo kahin gir jaaoon raahon men
badh ke tujhe thaam loon baahon men
chheen le jo tujh se jo koi mujh ko
duniya men jeene na doon us ko
tu yaadon men tu khaabon men tu jaan se hai pyara

tu jo kabhi paas na ho mere
ho lagta nahin dil kahin bin tere
he tu jo mile sab kuchh paa jaaoon
are dil chahe tujh men samaa jaaoon
in baahon ne in zulfon ne in aankhon ne maara

aaj chali kitni tej hawa
yeh to hai kya dil men jo shor utha
yeh tufaan aur ho tej zara
dil yun mile mil ke na phir ho juda
mar jaaye to mil ne ko aaye hum dubara
Song#: 165
Movie: apna desh
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
kajra laga ke gajra saja ke bijuri gira ke jaiyyo na
nain mila ke chain chura ke neendiya uda ke jaiyyo na

chhodo meri kalaai ko
sun lo meri duhaai ko
kyon chhedte ho raste men ladki kisi parayi ko
mera naam 

mukhda na dekho darpan men
jhaanko zara mere man men
aise jiya pe chhaayi ho jaise ghataayen sawan men
raat aur din tumre bin man men aur kaun hai
ab zid chhodo na aage aage daudo dil na mera todo
ghunghta gira ke mukhda chhupa ke bijuri gira ke jaiyyo na

chhodo meri kalaai ko
sun lo meri duhaai ko
kyon chhedte ho raste men ladki kisi parayi ko
mera naam ho badnaam yeh jo koi dekh le
chalo hato jaao jiya na dhadkaao dekho baaz aao
apna bana ke sapna dikha ke bijuri gira ke jaiyyo na
Song#: 167
Movie: apna desh
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
sun champa sun tara
koi jeeta koi haara
are bada maza aaye haye sun meri baat
jhoome naache gaaye chalo aaj saari raat

sach ke gale men padi maala
jhoothon ka to munh huva kaala
kaise huva aise huva hairaan hai yeh jag saara

banda hoon main to seedha saada
karta hoon tum se main yeh vaada
aaj se hoga woh dukh mera dukh hai jo tumhara

chham chham jo baaje meri payal
dil dushmanon ke huve ghayal
is jeevan pe sab ka haq hai apna hai yeh naara
Song#: 170
Movie: apna desh
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
duniya men logon ko dhokha kabhi ho jaata hai
aankhon hi aankhon men yaaron ka dil kho jaata hai

nagin si meri chaal rakhna dil ka khayaal
mere diwanon ka ho jaata hai yeh haal
jaage nain sari rain sara jahaan so jaata hai

kahti hai yeh nazar kab kya ho kya khabar
duniya men chand log hote hai jadugar
suniye ji un pe bhi jadoo kabhi ho jaata hai

pinjre men chal ke aap aa jata hai shikar
kaatil pe bhi kabhi aa jaata hai yun pyar
baaton hi baaton men hona hai jo ho jaata hai
Song#: 235
Movie: apne apne
Singer(s): lata mangeshkar
suresh wadkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
apne apne se lage humen
jab dekha pehli baar tumhen
in baahon men bhar ke chaha
jee bhar ke kar le pyar tumhen

apne apne se lage humen
jab dekha pehli baar tumhen
chup ke chup ke dil hi dil men
hum karte rahe hain pyar tumhen

dil beqaraar hai ji
yahi intezaar hai ji
hum jo kahen woh maan lo
aise bandhan men baandh liya
ab kaise karen inkaar tumhen
chup ke chup ke dil hi dil men
hum karte rahe hain pyar tumhen

dulhan bana do sajana
maang saja do sajana
armaan yahi hai dil ka
hum aur kisi ke na honge
karte hain yeh iqraar tumhen
in baahon men bhar ke chaha
jee bhar ke kar le pyar tumhen

aao kahin door chale
jhoom ke jahaan pe mile
dharti gagan pyar men
ab chahe jahaan bhi le jaao
hum dete hai adhikar tumhen
chup ke chup ke dil hi dil men
hum karte rahe hain pyar tumhen
Song#: 238
Movie: apne apne
Singer(s): rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
tune kiya kya jadoo
tere bina dil kahe 
bas jeena hi nahin jeena hi nahin

meri zindagi mera pyar tu
mere pyar ka hai nikhaar tu
jo main sach kahoon hai bahaar tu
o meri jaan

tere husn men hai woh dil nashi
tu hanseen to yeh duniya hanseen
tu mili mujhe mili har khushi
o meri jaan
Song#: 234
Movie: apne apne
Singer(s): asha bhosle
amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
idhar bhi tu udhar bhi tu
jidhar dekhoon tu hi tu
dil jo ab mera nahi hai us men teri aarzoo

ho jis jagah hai tu wahaan hai mastiyaan hi mastiyaan
ho mastiyon men jhoom le re tu jawaan main bhi jawaan
ho gayi hai aaj puri zindagi ki justaju
dil jo ab mera nahi hai us men teri aarzoo

ho dil ne chaha choom loon main par zamane ka hai dar
ho kya karega yeh jahaan hum hain jahaan se be khabar
dastaan ban ke rahegi teri meri guftagu
dil jo ab mera nahi hai us men teri aarzoo

ho dil men ek tufaan utha rahta hai teri yaad ka
ho apna rishta hai jahaan men shirin aur farhaad ka
shaql se waise na ho par dil se hai hum hu bahu
dil jo ab mera nahi hai us men teri aarzoo
Song#: 239
Movie: apne apne
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
mausam ka takaza hai kuchh aur kareeb aayen
tum hum men samaa jaao hum tum men samaa jaayen
is pyar ki bazi ka yeh dastoor nirala hai
jo socha bhi na tha woh hone wala hai

ho dhadkan badhati jaaye aanchal rah rah sar ke
phoole na samaaye hum baahon men tumhen bhar ke
is pyar ki bazi ka yeh dastoor nirala hai
jo socha bhi na tha woh hone wala hai

tum haar ke jeet gaye hum jeet ke haar gaye
yeh khel mohabbat ke jeevan ko nikhaar gaye
is pyar ki bazi ka yeh dastoor nirala hai
jo socha bhi na tha woh hone wala hai
Song#: 237
Movie: apne apne
Singer(s): asha bhosle
amit kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
teri yaad men neend na aaye
are jaag ke raat bitaayi
aise to kabhi huva na yeh baat samajh na aayi
ho hota hai hota hai pyar men aisa hota hai

tu ne yun aankh milayi
main sapne men ghabarayi
aise to kabhi huva na yeh baat samajh na aayi
are hota hai hota hai pyar men aisa hota hai

lakhon men ek tu hai
jo dil men bas gayi hai
kismat men jo likhi hai
lagta hai tu wohi hai
tune kya baat batayi 
main man hi man sharmaayi
aise to kabhi huva na yeh baat samajh na aayi
ho hota hai hota hai pyar men aisa hota hai

vaada yeh tujhe karna hai
mera hi ho ke rahna tu
manoongi tera kahna main
manega mera kahna tu
dil se awaaz yeh aayi ab ek pal nahi judaai
aise to kabhi huva na yeh baat samajh na aayi
ho hota hai hota hai pyar men aisa hota hai
Song#: 540
Movie: arjun
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: javed akhtar
dhadkan pal pal badhti jaye
chup ke chup ke yeh samajhaye
raat dhali teri gali koi aane wala hai
kaun hai yeh main janoo na

ho badan men nasha jaise bahne laga hai
koi mere kaanon men kahne laga hai
raat dhali teri gali koi aane wala hai
kaun hai yeh main janoo na

are kahaan aaj roke se manega koi
har ek raaz is dil ka jaanega koi
raat dhali teri gali koi aane wala hai
kaun hai yeh main janoo na

machalte hai armaan fiza gaa rahi hai
kahin se mujhe yeh sadaa aa rahi hai
raat dhali teri gali koi aane wala hai
kaun hai yeh main janoo na
Song#: 539
Movie: arjun
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: javed akhtar
sa ga pa re la la la re ga sa
bhuri bhuri aankhon wala ek ladka hai
sapne dekhan se jaane kyun ghabrata hai
gumsum gumsum khoya khoya sa rahta hai
sapne dekhan se jaane kyun ghabrata hai

meri aankhon men hai kitne saare sapne
rang birangi meethe meethe pyar sapne
diwane tu bhi aankhon men sapne rakh de
ban ke chamkenge raaton men taare sapne

tu mane na mane aisa din aayega
jab duniya ke chehre se ghum dhul jayega
phool khilenge rang hasenge aanchal aanchal
aangan aangan goonjegi khushiyon ki payal
Song#: 428
Movie: aandhi
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
tere bina zindagi se koi shikwa to nahin
shikwa nahin shikwa nahin shikwa nahin
tere bina zindagi bhi lekin zindagi to nahin
zindagi nahin zindagi nahin zindagi nahin

kaash aisa ho tere kadamon se chun ke manzil chalen
aur kahin door kahin
tum gar saath ho manzilon ki kami to nahin

ji men aata hai tere daaman men sar chhupa ke hum
rote rahen rote rahe
tere bhi aankhon men aansoon ki namee to nahi

tum jo kah do to aaj ki raat chaand doobega nahi
raat ko rok lo
raat ki baat hai aur zindagi baaki to nahin
Song#: 148
Movie: alag alag
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
hmm kuchh hum ko 
kya
kuchh tum ko
haan

kuchh hum ko kuchh tum ko 
kuchh hum ko tum se kehna to hai
kuchh tum ko hum se kehna to hai
alag alag kuchh bhi kehna nahi
alag alag ab hum ko rahna nahi

aao chalo baitho mil ke soche
hal koi apni mushkil ka khoje
samjho ke hum do saagar ki mauje
ho saagar men tum ko behna to hai
saagar men hum ko behna to hai
alag alag ho kar behna nahi
alag alag ab hum ko rahna nahi

jhonka pawan ka paani ka rela
pritam bina man panchhi akela
jeevan hai kya ek sukh dukh ka mela
ho hum ko yeh sukh dukh sehna to hai
tum ko yeh sukh dukh sehna to hai
alag alag magar kuchh sehna nahi
alag alag ab hum ko rahna nahi

chanda ka deepak sooraj ki baati
yeh roshni to hai aati jaati
din raat ke hum donon hai saathi
ho longon ka aisa kehna to hai
din se juda yeh raina to hai
alag alag din aur raina nahi
alag alag ab hum ko rahna nahi
Song#: 147
Movie: alag alag
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aa
kagaz kalam dawaat le ye kissa likhe koi
ranjha ranjha karte phir ek heer diwani hoyee
jab se tujh ko dekha hai main sab ko bhool gayi hoon
auron ki kya baat are main rab ko bhool gayi hoon
tere naam ke siwa kuchh yaad nahi
tere naam ke siwa kuchh yaad nahi

laaj ke pehre toot gaye na toota pyar ka waada
jab jab shaam ne bansi chhedi tadap uthi yeh radha
prem ke raste men hain oonche parbat saagar gehre
hum premi aankhon se andhe aur kaanon se behre
tere naam ke siwa kuchh yaad nahi
tere naam ke siwa kuchh yaad nahi

mujhe kya ho gaya kuchh yaad nahi
tune kya kar diya kuchh yaad nahi

teri surat moorat men apni tasveer main dekhoon
teri zulfon men ulajhi apni taqdeer main dekhoon
tu mujh men main tujh men ek dooje men donon aise
phool men khushboo deep men jyoti seep men moti aise
tere naam ke siwa kuchh yaad nahi
tere naam ke siwa 

mujhe kya ho gaya kuchh yaad nahi
tune kya kar diya kuchh yaad nahi
Song#: 149
Movie: alag alag
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
door bahot door bahot door 
aasmaan par rahta hai ek jadugar
kya kya khel dikhata hai
kabhi humen hasaata hai
kabhi humen rulaata hai

is jeevan ki yehi hai kahani
aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

phool khile khil kar murazaaye
deep jale jal kar buz jaaye
is bagiya ki reet yehi hai ek rut aaye ek rut jaaye
kaise badale reet purani
aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

jism ki maut se phir kya darna
is mitti ka ghum kya karna
duniya men sab ko na jaane kitni baar hai jeena marna
maut ke baad hai phir zindgani
aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Song#: 144
Movie: alag alag
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
mujhe teri chaahat ke ghum ki kasam
zamane ki har ek kasam ki kasam
main tere liye hoon tu mere liye
sitam gar tere har sitam ki kasam

dil men aag lagaye saawan ka maheena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena
tune mujhe jo zakham diye un zakhmon ko nahin seena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho is dil se armaan yeh nikale
ek hi ghoont men jaan yeh nikale
jehar judaai wala ghoont ghoont nahi peena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho yeh teri yaadon ka mausam
pyar bhare waadon ka mausam
is mausam ke bichhade shaayad mile kabhi na
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho ishq ibaadat ishq hai pooja
ishq khuda ka naam hai dooja
yeh dil mathura kaashi kaaba aur madeena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena
Song#: 146
Movie: alag alag
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ho mujhe teri chaahat ke ghum ki kasam
zamane ki har ek kasam ki kasam
main tere liye hoon tu mere liye
sitam gar tere har sitam ki kasam

dil men aag lagaye saawan ka maheena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena
tune mujhe jo zakham diye un zakhmon ko nahin seena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho ho

ho is dil se armaan yeh nikale
ek hi ghoont men jaan yeh nikale
jehar judaai wala ghoont ghoont nahi peena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho yeh teri yaadon ka mausam
pyar bhare waadon ka mausam
is mausam ke bichhade shaayad mile kabhi na
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

ho ishq ibaadat ishq hai pooja
ishq khuda ka naam hai dooja
yeh dil mathura kaashi kaaba aur madeena
nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena
Song#: 6721
Movie: alag alag
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
is jeevan ki yahi hai kahani
aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

aane wala pal kehta hai
jaane wala pal kehta hai
kaun raha hai kaun rahega koi hamesha kab rahta hai
rah jaati hai yaad nishani
aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Song#: 115
Movie: alag alag
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
haye ho
yeh gazal na geet hai koi
yeh mere dard ki kahani hai
mere seene men sirf shole hain
meri aankhon men sirf paani hai

kabhi bekasi ne mara kabhi bebsi ne mara
gila maut se nahi hai mujh zindgi ne maara

muqaddar pe kuchh zor chalta nahi
woh mausam hai yeh jo badalta nahi
kahin bhi yeh bad naseebi
ho kahin bhi meri gareebi
kis kis ka naam loon main mujhe har kisi ne maara
gila maut se nahi hai mujh zindgi ne maara

be muravvat bewafa duniya hai yeh
hai yehi duniya to kya duniya hai yeh
na kami thi doston ki
na kami thi dushmanon ki
kahin dushmani ne loota kahin dosti ne maara
gila maut se nahi hai mujh zindgi ne maara

ujaalon se vehshat mujhe ho gayi hai
andheron ki aadat mujhe ho gayi hai
raha jab talak andhera
ho kata khub waqt mera
mujhe chandni ne loota mujhe roshni ne maara
gila maut se nahi hai mujh zindgi ne maara
Song#: 6938
Movie: aaja meri jaan
Singer(s): anuradha paudwal
sp balasubramaniam
Music: rahul dev burman
Lyrics:
aaja aaja meri jaan
kaha tha tune sanam
juda na honge hum
dil na maane jaane
tu hai kahaan

aayi aayi
baahon men teri zindagi meri
o mere saathi chhod ke tujhe
jaoongi kahaan tu hai jahaan
main hoon wahaan

aaja aaja aaja meri jaan
na kar aise sitam
kasam teri kasam
dil na maane jaane
tu hai kahaan
Song#: 5100
Movie: aawaara baap
Singer(s): anuradha paudwal
suresh wadkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: m g hushmat
na hoti dosti tum se
na duniya ko jalan hoti
na bante pyar ke dushman
na seene men chubhan hoti

jo nikle band kamare se zamane ki uthi aankhen
ishara kar ke donon ko kaanon men huee baaten
na hum ko dekhta koi
na aankhon men agan hoti
na bante pyar ke dushman
na seene men chubhan hoti

mohabbat samajh hai dilon ki samajhti kyun nahin duniya
hamesha chaahne walon se ulajhti kyun hai duniya
mita deti jo nafrat
to yeh duniya chaman hoti
na bante pyar ke dushman
na seene men chubhan hoti

zamane men huva charcha nigaahon se dil ke bayaan par
tera naam aane laga hai mere saath sab ki zubaan par
agar hum zamane se darte
na poori yeh lagan hoti
na bante pyar ke dushman
na seene men chubhan hoti
Song#: 155
Movie: amar prem
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
tbada natkhat hai re krishna kanhaiyya
ka kare yashoda maiyya

dhoondhe ri aankhiyaan use chahu or
jaane kahaan chhup gaya nand kishor
ud gaya aise jaise purvaiyya
ka kare yashoda maiyya
maiyya re haan haan

aa tohe main gale se laga loon
laage na kisi ki nazar man chhupa loon
dhoop jagat hai re mamta hai chhaiyya
ka kare yashoda maiyya

mere jeevan ka tu ek hi sapna
jo koi dekhe tohe samjhe woh apna
sab ka hai pyara ho
sab ka hai pyara bansi bajaiyya
Song#: 158
Movie: amar prem
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
kuchh to log kahenge
logon ka kaam hai kehna
chhodo bekaar ki baaton men
kahin beet na jaaye raina

kuchh reet jagar ki aisi hai har ek subah ki shaam huee
tu kaun hai tera naam hai kya seeta bhi yahaan badnaam huee
phir kyun sansaar ki baaton se bheeg gaye tere naina

hum ko jo taane dete hain hum khoye hain in rang raliyon men
hum ne un ko bhi chhup chhup ke aate dekha in galiyon men
yeh sach hai jhoothi baat nahin tum bolo yeh sach hai na
Song#: 159
Movie: amar prem
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aa
raina beeti jaaye shaam na aaye
nindiya na aaye nindiya na aaye

shaam ko bhoola shaam ka waada re
sang diye ke jaage radha
nindiya na aaye nindiya na aaye

kis sautan ne roki dagariya
kis bairan se laagi najariya
nindiya na aaye nindiya na aaye

birha ki maari prem diwani re
tan man pyasa aankhiyon men paani
nindiya na aaye nindiya na aaye
Song#: 156
Movie: amar prem
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
yeh kya huva kaise huva kab huva
ab kya sunaayen
yeh kya huva kaise huva kab huva
kyun huva jab huva tab huva
o chhodo yeh na socho

hum kyon shikwa kare jhootha
kya huva jo dil toota
sheeshe ka khilauna tha kuchh na kuchh to hona tha
huva

samjhe na

hum ne jo dekha tha suna tha
kya bataayen woh kya tha
sapna salona tha khatm to hona tha
huva

e dil chal pee kar jhoome
inhi gailyon men ghoome
yahaan tujhe khona tha badnaam hona tha
huva
Song#: 164
Movie: anamika
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
aaj ki raat koi aane ko hai re baba re intezaar
aur thoda sa intezaar
aaj ki raat koi aane ko hai re baba
use aane to de o dil e beqaraar
phir kar lena ji bhar ke pyar
shuku shuku shuku

na na

tu to na aaya aaya koi aur saajan
mujhe aa kar bacha le to tu phir tu bacha le
loote hai mujh ko meri jawani ka dushman
koi kab tak sambhaale tu tu bacha le
aisa na ho loot jaaye re tera pyar

aaja ab to aaja na
aaja
Song#: 163
Movie: anamika
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
logon na maaro ise yehi to mera dildaar hai
dil se jo dil takaraaye nahi dushmani yeh pyar hai

hum zara jo ulajh gaye kyun ladaai samajh gaye
baazi pyari yeh thi humari mohabbat ki dillagi zara

kaahe ko rootha diwana mera tu hi to sapna suhana mera
yeh lo saiyya main hi haari ulta pada nishana mera

yun to shuru se hoon main tumhi par yeh haare huve
lekin khafa ho ke tum to aaj aur bhi pyare huve

pyar tha to sataaya tumhen rang ada ka dikhaya tumhen
kaisa naata na bhola bhala abhi tak hai mastana mera
kaahe ko rootha

tere milan se yun hi mehakta rahe mera jahaan
sada rahoon gale kabhi na dhale ab yeh samaa

teri chahat jawani meri tera gun zindgani meri
tujh ko chahoon tujhi ko poojoon yehi bas ho afsana mera
kaahe ko rootha
Song#: 8020
Movie: anamika
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
haan
jaaoon to kahaan jaaoon sab kuchh yehi hai
tere ghar ke baahar to na duniya na din hai

jaise bhi raakho bihaari mohe
jag to pukaare tihaari mohe
tere dwaar aa ke jaana nahi hai

preet tere sang jodi piya
chunri tere rang odhi piya
kahin aur ghunghta uthana nahi hai
Song#: 161
Movie: anamika
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
baahon men chale aao
haan hum se sanam kya parda
ho hum se sanam kya parda
yeh aaj ka nahi milan
yeh sang hai umar bhar ka

hmm hmm
chale hi jaana hai nazar chura ke yun
phir thaami thi saajan tum ne meri kalaai kyun haan
kisi ko apna bana ke chhod de aisa koi nahi karta

kabhi kabhi kuchh to kaho piya hum se
ke kum se kum aaj to khul ke milo zara hum se
hai raat apni jo tum ho apne kisi ka phir humen dar kya
Song#: 162
Movie: anamika
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
meri bheegi bheegi si palakon pe rah gaye
jaise mere sapne bikhar ke
jale man tera bhi kisi ke milan ko
anamika tu bhi tarase

tujhe bin jane bin pehchaane
maine hriday se lagaaya
par mere pyar ke badale men tu ne
mujh ko yeh din dikhlaaya
jaise birha ki rut maine kaati
tadap ke aahen bhar bhar ke
jale man tera bhi kisi ke milan ko
anamika tu bhi tarase

aag se naata naari se rishta
kaahe man samajh na paaya
mujhe kya huva tha ek bewafa pe
haye mujhe kyun pyar aaya
teri bewafaai pe hanse jag saara
gali gali guzare jidhar se
jale man tera bhi kisi ke milan ko
anamika tu bhi tarase
Song#: 199
Movie: andar baahar
Singer(s): shailendra sing
suresh wadkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
hum ko to yaari se matlab hai
ho hum ko to yaari se matlab hai
yaar ho kaisa bhi chaahe jhootha ya sahi
baat sach hai yahi yara

he ek aur ek to gyarah hote hai
ab to hum wohi gyarah hai
hum ko jo bhi aankh dikhayega
us ki maut ka ishara hai
ho jab tak bhi jiye yun hi hanste rahe
log kuchh bhi kahe yara

he jeene ko jeete hai yun to sabhi yaaron
jeena uski ko kahte hai
jeete nahin jo apne liye hi
auron ke dil men rahte hai
kaun rahega yahaan hai yeh paani jahaan
kal honge kahaan yara

he ab to hum kabhi door na honge ji
ab na aisa iraada hai
tere liye pyaare jaan haazir hai
tujh se mera yeh waada hai
ho ek dooje ka ghum sada baatenge hum
aaj kha le kasam yara
Song#: 8118
Movie: andar baahar
Singer(s): shailendra sing
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
hum ko to yaari se matlab hai
yaar ho kaisa bhi chahe jhootha ya sahi
baat sach hai yahi yara
Song#: 232
Movie: andar baahar
Singer(s): suresh wadkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
andar baahar baahar andar
hum hai jahaan wahaan jalwe
apni aankhon men rahte hain
har dum jawaan jawaan jalwe

ek to haseen chehra us pe yeh kafir adaayen tauba tauba
bin poochhe dil men utar jaane wali nigaahen tauba tauba
jalwe jo hai tujh men sanam aise haseen kahaan jalwe

seene se lag ja zara aur bhi mere dilbar aaye maza
din hai mohabbat ke chadhti jawani ka yaaron chhaya nasha
hone lage hum pe aji khud hi meherbaan jalwe

main teri aankhon se pee ke bahakne laga hoon jaan o jigar
aise men ab aur na jaane kya gul khilenge kis ko khabar
aa loot le masti men hum mil ke meri jaan jalwe
Song#: 231
Movie: andar baahar
Singer(s): asha bhosle
shailendra sing
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
ho
mausam bada suhana hai
achchha ji
is ka ek afsana hai
achchha ji
ho la la
haan pata hai tum ko is mausam ko pyar ka mausam kahte hai
is mausam men pyar bhare dil pagle milte rahte hai
o ho mujhe nahi pata main to yahaan pardesi hoon
des pardes pyar men kaisa des pardes
des men ya pardes men ho par pyar ka dhang to ek sa hai
alag alag hai tasveeren par pyar ka rang to ek sa hai
ha i am very very sorry i am colour blind
kya
are pagli samjhi nahin meri nazar zara kamzor hai
o mausam bada suhana hai
achchha ji
samjhe
are is ka ek afsana hai
are baba sun liya sun liya

nazar se kamzor nahi ho dil se bhi kamzor ho tum
phir bhi tum se kah deti hoon suno mere chitchor ho tum
chor oye main chor nahi hoon main police afsar hoon
mausam bada suhana hai
achchha ji
ab to samjho
are is ka ek afsana hai
are baba kitni baar kahogi haan

ab tum zara sambhal ke rahna aur dekhna zor mera
mujhe khabar hai laakhon men bas ek hi hai chitchor mera
mausam bada suhana hai
achchha ji
Song#: 166
Movie: apna desh
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
rona kabhi nahin rona
chahe toot jaaye koi khilauna khilauna 
sona chup ke se sona
chahe toot jaaye sapna salona salona
la la
ru ru

dukh sukh ki kya baat hai
kya din hai kya raat hai
aansoo bhi muskaan bane
yeh to apne haath hai
aashaaon ki dori men sada tum man ke phool pirona

dekho bachchon baag men
sab kaliyaan nahin khilti
duniya men insaan ko 
sab cheezen nahin milti
jo apna nahi tum us ke liye jo apna hai nahi khona

la la

rang se aur na dhaam se jaat se aur na naam se
izzat milti hai yahaan dekho achchhe kaam se
koi kaam bura tum mat karna badnaam kabhi nahi hona
Song#: 169
Movie: apna desh
Singer(s): asha bhosle
rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
duniya men logon ko dokha kabhi ho jaata hai
aankhon hi aankhon men yaaron ka dil kho jaata hai

nagin si meri chaal rakhna dil ka khayaal
mere diwanon ka ho jaata hai yeh haal
jaagi main saari rain saara jahaan so jaata ahi
aankhon hi aankhon men yaaron ka dil kho jaata hai

kehti hai yeh nazar kab kya ho kya khabar
duniya men chand log hote hain jadugar
suniye ji un pe bhi jaadoo tab hi ho jaata hai
aankhon hi aankhon men yaaron ka dil kho jaata hai

pinjare men chal ke aap aa jaata hai shikaar
kaatil pe bhi kabhi aa jaata hai yun pyar
baaton hi baaton men hona hai jo ho jaata hai
Song#: 236
Movie: apne apne
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
aa
gyan ka daan hi sab se bada hai jise koi na loote
gyaan ka rishta sachcha rishta baaki rishte jhoothe
jo gyaan daan de jaata ahi woh jag men amar kehlata hai

agyani ka jeevan jaise seep bina moti ke
ghar ghar men sab deep jalaayen gyaan ki hi jyoti se
apne liye guru vidhata hai jo jag men amar kehlata hai
jo gyaan daan de jaata ahi woh jag men amar kehlata hai

sab dharmon ka paalan kije maanavta kehti hai
kisi ek ki nahi yeh ganga sab ke liye behti hai
yeh jan jeevan mehkaata hai aur man paawan ho jaata hai
jo gyaan daan de jaata ahi woh jag men amar kehlata hai

un ka jeena kya jeena jo apne liye jiye hain
ek dooje ke sukh dukh baante ek dooje ke liye hain
jo auron ke kaam aata hai woh jeevan ke sukh paata hai

maali ke jaane se gulshan soona ho jaayega
lekin har bahaar ka mausam rang naye laayega
koi aata hai koi jaata hai yun waqt guzarta jaata hai
gyan ka daan hi sab se bada hai jise koi na loote
gyaan ka rishta sachcha rishta baaki rishte jhoothe
Song#: 194
Movie: agar tum na hote
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
humen aur jeene ki chaahat na hoti
agar tum na hote agar tum na hote

tumhen kya bataaoon ke tum mere kya ho
meri zindagi ka tumhi aasra ho
main aasha ki ladiyaan na rah rah piroti
agar tum na hote agar tum na hote

har ek ghum tumhara sahenge khushi se
karenge na shikwa kabhi bhi kisi se
jahaan mujh pe hasta khushi mujh pe roti
agar tum na hote agar tum na hote
Song#: 5071
Movie: agar tum na hote
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
humen aur jeene ki chaahat na hoti
agar tum na hote agar tum na hote

humen jo tumhara sahara na milta
bhanwar men hi rahte kinara na milta
kinare pe bhi to lehar aa duboti
agar tum na hote agar tum na hote

tumhen kya bataaoon ke tum mere kya ho
meri zindagi ka tumhi aasra ho
main aasha ki ladiyaan na rah rah piroti
agar tum na hote agar tum na hote

har ek ghum tumhara sahenge khushi se
karenge na shikwa kabhi bhi kisi se
jahaan mujh pe hasta khushi mujh pe roti
agar tum na hote agar tum na hote
Song#: 196
Movie: agar tum na hote
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
aa aa
aha aha
dheere dheere zara zara jaan e jaana hone laga
teri meethi baaton pe yakeen
o teri meethi baaton pe yakeen

o kal tak mera din na maana
tu kya hai yeh aaj hi jaana
ab dil pighalne laga
o tune chheda taar aisa jaan e jaana hone laga
teri meethi baaton pe yakeen

ab ji bhar ke pyar karenge
sang jiyenge sang marenge
yeh faisla kar liya
o kabhi kabhi zara zara jaan e jaana mujhe huva
teri meethi baaton pe yakeen
abhi abhi poora poora jaan e jaana ho hi gaya
teri meethi baaton pe yakeen

la la
Song#: 4581
Movie: agar tum na hote
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
sach hai koi ilzaam nahi hai
kaun hai jo joru ka ghulam nahi hai

yeh to har mard ki hai pehli khasiyat
haan pehli khasiyat bhiayya pehli khasiyat
dooji ka chaska teeji pe hai neeyat
teeji pe hai neeyat teeji pe hai neeyat teeji pe hai neeyat
isi liye apni se darta hai woh
din raat chaaplusi karta hai
varna use kya koi kaam nahi hai
kaun hai jo joru ka ghulam nahi hai

joru ki ghulami men bhi aata hai mazaa
bhaiyya aata hai mazaa haan haan aata hai mazaa
poochhe koi un se ji men yeh pataa
haan ji men yeh pataa ji men yeh pataa

jitna bhi maska lagaate jaayenge
utna woh band sukh paate jaayenge
maske ka yaaron koi kaam nahi hai
kaun hai jo joru ka ghulam nahi hai

apni to daal hai parayi murgi
daana phir daal ke fansaayi murgi
kudu kudu kudki awaaz jab aayi
to hogi ghar men miyaan ki pitaai

kahin lambu ki pitaai kahin chhotu  ki pitaai 
kahin duble ki pitaai kahin motu ki pitaai 
kahin taklu ki pitaai kahin haklu ki pitaai 

are aisa pitna bhi to haraam nahi hai
kaun hai jo joru ka ghulam nahi hai
Song#: 197
Movie: agar tum na hote
Singer(s): rekha
shailendra sing
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
kal to sunday ki chhutti hai
phir kis baat ka rona hai
kya kaha tum ne
aaj raat bhar hum ko pagli
jaag jaag ke sona hai

har kal tum sunday samajho
bas isi baat ka rona hai
subah mujhe jaldi uthna hai
is liye jaldi sona hai

maine to socha tha meri haan men haan milaaogi
sun ke meri baat meri jaan phuli nahin samaaogi
are wah ri kismat bhari jawani men ..
subah mujhe jaldi uthna hai
is liye jaldi so ja baba

kabhi kabhi achchha lagta hai meethe meethe khwab aayen
khwaab tab hi aayenge pagle jab hum jaldi so jaayen
dheere dheere pyar ke dhaage men har khwaab pirona hai
are aaj raat bhar hum ko pagli
jaag jaag ke sona hai

chaand raat ka yeh kehna hai ek baar to pyar se mil
laakh na chaahoon phir bhi teri baaton men aa jaaye dil
jaane teri baaton men kya aisa jadu tona hai
aaj raat bhar hum ko pagli
jaag jaag ke sona hai
Song#: 198
Movie: agar tum na hote
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
hum to hai chhuee muee ib ka kari ho
bhanwra ban ke aaye gaye ho
dekhen woh hum ka aisi nazar se
kaise bataayen nazook sa jiyra
chhaliya ban ke aaye gaye ho
Song#: 206
Movie: azaad
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jaan ki kasam sach kahte hai hum khushi ho ya ghum
baant lenge hum aadha aadha
yeh waada haan waada
yeh waada raha

thoda tum chalna thoda main chalungi manzil paas aa jaayegi
ho thoda tum hasna thoda main hasungi jab bhi udaasi chha jaayegi
yeh waada haan waada
yeh waada raha
jaan ki kasam sach kahte hai hum bahot ho ya kum
baant lenge hum aadha aadha

kuchh tum jalna kuchh main jalunga dil men aag jab lagegi
ho donon men koi pyasa raha to donon ki pyas na buzegi
yeh waada haan waada
yeh waada raha
jaan ki kasam sach kahte hai hum jo bhi ho sitam
baant lenge hum aadha aadha

ho ho
la la

kiya hai jo waada sab kuchh aadha kahin pyar na aadha rah jaaye
ho aisa nahi hoga aisa hona ho to toot ke yeh waada rah jaaye
yeh waada haan waada
yeh waada raha
jaan ki kasam sach kahte hai hum sab kuchh balam
baant lenge hum aadha aadha
Song#: 207
Movie: azaad
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ho main hoon teri prem diwani
mere saiyya mere raja dil jaani 
tu ne kaisa jadoo kiya re
kachhe dhage se baandh liya re

tu ne mujhe bas men kiya tadapaaya
jab chaha chheda jiya dhadkaaya
tu hai bada paapi piya re
kachhe dhage se baandh liya re

soyi nahin main to kaee raaton se
meethi meethi pyar bhari baaton se
loot liya tu ne jiya re
kachhe dhage se baandh liya re

tu ne bada dhokha kiya gori se
kore kore man pe mere chori se
naam apna likh diya re
kachhe dhage se baandh liya re
Song#: 209
Movie: azaad
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
main laila ka majnoo shirin ka farhaad
main hoon sab se pehle are sab hai mere baad
main azaad main azaad

pehle bano nishana phir tum teer chalaana
thaam ke apne dil ko phir tum saamne aana
tum jaise dekhe hai maine bade saiyyaad

mujh se bach ke rahna baat bigad jaayegi
saari raat kasam se tum ko neend nahin aayegi
bhool na paaogi tum main aaonga yaad

in aankhon ke raste dil men bas jaaoonga
tum nagin to main sapera tum ko das jaaoonga
ab karti ho gussa phir karna fariyaad
Song#: 205
Movie: azaad
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
raju chale raju apni masti men tu
koi jiye ya mare kya hum ko babu

maana ke haseen hai duniya ke yeh mele
ab to hum rahenge mele men akele
jab tak na ho jaaye apna dil bekaabu

jag men jo bura hai hum dekhe na sune
kaaton ko hataa ke phoolon ko hum chune
jab duniya begaani do apne main aur tu

pariyaan yeh kahaan se chali aayi gaanv men
aaye neend haye zulfon ki chhanv men
hum pe na chal jaaye in zulfon ka jadu
Song#: 208
Movie: azaad
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
chhup ke se baat suno e ri saheli
ghar se woh nikli aaj akeli
sharma gayi kyun naar naveli
raste men kaun mila boozo paheli
ari kaun
ari woh mil gaya hoga

kaun mil gaya ghar se nikalte
hay hay hay
yaar mil gaya ghar se nikalte
ho pyar mil gaya raste pe chalte

dhik dhik dhik dhik

woh to sharmaayi zinda ghar aayi
main hoti to mar jaati ji ki ram duhaai
chori chori chup ke chup ke
jise milna tha duniya se chhup ke
ho beech bazaar mil gaya

dhik dhik dhik dhik
dhik chaahi na

jadu chal gaye log jal gaye
raaten badal gaye meri din badal gaye
jab se mila woh dagar men
jiya laage na babul ke ghar men 
ho saajan ka dwaar mil gaya