Song#: 471
Movie: ghar
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
tere bina jiya jaaye na
bin tere tere bin saajna
saans men saans aaye na

jab bhi khayaalon men tu aaye
mere badan se khushboo aaye
mehke badan men raha na jaaye
raha jaaye na

reshmi raaten roz na hongi
yeh saugaaten roz na hongi
zindagi tujh bin raas na aaye
raas aaye na
Song#: 437
Movie: ghunghroo ki aawaaz
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: vijay anand
ankhiyon ka kajra
haathon ka gajra
kaanon ka jhumka 
kiske liye
meri jaan mera sab tera

kajra yeh gajra yeh kangna to kuchh bhi nahin
chanda sitaren tumhare bana doon to kuchh bhi nahin
jo mandir mere man ka tha mera ab tera
ho mere dil ka jahaan 
jahaan tum mehmaan
yeh hazaaron armaan 
bolo kis ke liye
meri jaan mera sab tera

gaalon ki laali yeh hoton ki pyali ab teri na rahi
aankhon ki masti yeh shikhi yeh hasti ab teri
muskurahat jeevan ki thi teri ab meri
bozal bozal 
yeh aag bhara dil 
..
mera dil tera tera mera
Song#: 474
Movie: ghar
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
aap ki aankhon men kuchh mahke huve se raaz hain
aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hain

lab hile to mogare ke phool khilte hain kahin
aap ki aankhon men kya sahil bhi milte hain kahin
aap ki khamoshiyaan bhi aap ki awaaz hain

aap ki baaton men phir koi shararat to nahin
be vajeh taarif karna aap ki aadat to nahin
aap ki badamashiyon ke yeh naye andaaz hain
Song#: 5058
Movie: gehra zakham
Singer(s): kishore kumar
sapan chakravarti
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli
aisa ho to kaisa ho
ladki bhaage kismat jaage
jeb men apne paisa ho

chehron ki chandni hai zulfon ki badaliyaan hain
rangeen mehfilon men jismon ki bijaliyaan hain
jaisa chaahe waisa ho

masti chhalak rahi hai armaan machal rahe hain
paani se bheege bheege sholay nikal rahe hain
yehi khel hamesha ho

baa adab baa mulahiza hoshiyaar
aalam panha ki sawari aa rahi hai

duniya se ja ke keh do achchhi hai woh jahaan hai
milne ki ab kisi se fursat humen kahaan hai
haye phir jo aana ho
Song#: 5061
Movie: gehra zakham
Singer(s): asha bhosle
mohd. rafi
udit narayan
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel
are chaal men maal le ke aaya hai
sapnon ko sach kar ke laya hai
aji sab ka udhaar de ne aaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha

ho paisa rupaiyya hum ne diya tha
sood bhi us pe nahin liya tha

oy koche hum theek bolte ke nahin

doodh humara tum ne piya tha
pani mila ke nahin diya tha
lekin wada bhi maine kiya tha
aaya hoon main ab achchha hoga sab
yeh to kismat ne chakkar chalaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha

ho poore ho gaye sab ke waade
hum hain sajana seedhe saade
haathon men mehndi aaj racha de
maang hai sooni ise saja de
wada poora kar dulhan bana de
aaya hoon main ab achchha hoga sab
yeh to kismat ne chakkar chalaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha

chaal men maal le ke aaya hoon
sapnon ko sach kar ke laya hoon
aji sab ka udhaar de ne aaya hoon
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha
Song#: 5059
Movie: gehra zakham
Singer(s): asha bhosle
mohd. rafi
bhupendra
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli
hay rabba aadi tappa

chaand sa chehra raat si zulfen hirni jaisi chaal
chain ganwaye neend churaye tere solah saal
oy main sad ke javaan

heere moti se chamkile mere solah saal
mil jaaye yeh jis ko us ko kar de maalamaal
hay main vaari javaan

main tera hoon tu meri
magar phir bhi hai doori
pyasa main bhi aur tu bhi
yeh kaisi hai majboori
mere hothon pe mehka de phoolon jaise gaal
oy main sad ke javaan

milan ho to kaise ho
jawani pe hai bandhan
yeh duniya meri teri
mohabbat ki hai dushman
mere tere aage peechhe faile hai sau jaal
hay main vaari javaan

wafaayen jurm nahi hain
kisi se darte kyun ho
jahaan men buzdil ban ke
mohabbat karte kyun ho
ab tum dekhna mere yara
haathon ka kamaal
oy main sad ke javaan
Song#: 5030
Movie: gehra zakham
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel
o mausam bheega bheega
baalam seedha seedha
tera yeh chehra bada suhana jaan leva hai

o mausam bheega bheega
jaanam seedha seedha
tera yeh chehra bada suhana jaan leva hai

bairi yeh jawani meri aaj nahin bas men
bijli si chamke nas nas men
chhaya nasha sa zara zara sa jaan leva hai

ho bahke kadam tere nain hain nasheele
zulfen ghataayen lab raseele
dard e dil yeh zara zara sa jaan leva hai
Song#: 5060
Movie: gehra zakham
Singer(s): asha bhosle
amit kumar
suresh wadkar
bhupendra
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli
o kya huva jo na paayi wafa aap se
pyar ko mil gaya rasta aap se
ho kya bataayen humen kya mila aap se
zindagi ko mila aasra aap se
o raaz dil ka kahaan hai chhupa aap se
hai har ek dard ka silsila aap se

sheesha e dil men teri hi tasveer hai
jaan e man munh chhupane se kya fayda

husn shabnam nahi husn shola bhi hai
dekhte dekhte tum badal jaaoge
paas aa hi gaye ho to phir soch lo
jab yeh parda hatega to jal jaaoge
husn ki aarzoo koi aasaan nahi
zindagi ko mitaane se kya fayda