Song#: 481
Movie: kitaab
Singer(s): rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
ho ho ya..
dhanno ki aankhon men ha raat ka surma
aur chaand ka chumma

ho zehrelee tere bina raat lage
chhala pade aag jaise chaand pe jo haath lage
ho dhanno ka gussa hai peer ka jumma
aur chaand ka chumma

ho dhanno tujhe khwaab men dekha hai
laila ki heer ki kitaab men dekha hai
ho dhanno ki aankhon men noor ka surma
aur chaand ka chumma
Song#: 4591
Movie: kati patang
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
oy babuwa holi hai
he aaj na chhodenge bas humjoli
khelenge hum holi
chaahe bheege teri chunariya
chaahe bheege re choli
khelenge hum holi
holi hai

apni apni kismat hai yeh koi hanse koi roye
o rang se koi ang bhigoye re koi asuan se nain bhigoye
rahne do yeh bahana kya karega zamana
ho tum ho kitni bholi
hoy khelenge hum holi

aise naata tod gaye hai mujh se yeh sukh sare
ho jaise jalti aag kisi ban men chhod gaye banjaare
dukh hai ek chingari bhar ke yeh pichkari
ho aayi maston ki toli
hoy khelenge hum holi
Song#: 664
Movie: kati patang
Singer(s): mukesh
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jis gali men tera ghar na ho baalma
us gali se humen to guzarna nahin
jo dagar tere dware pe jaati na ho
us dagar pe humen paanv rakhna nahin

zindagi men kaee rang raliyaan sahi
har taraf muskurati yeh kaliyaan sahi
khoob surat bahaaron ki galiyaan sahi
jis chaman men tere pag men kaante chubhe
us chaman se humen phool chunana nahin

haan yeh rasmen yeh kasmen sabhi tod ke
tu chali aa chunar pyar ki odh ke
ya chala jaaoonga main yeh dil chhod ke
jis jagah yaad teri sataane lage
us jagah ek pal bhi theharna nahin
Song#: 4587
Movie: kati patang
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
na koi umang hai na koi tarang hai
meri zindagi hai kya ek kati patang hai

akaash se giri main ek baar kat ke aise
duniya ne phir na poochho loota hai mujh ko kaise
na kisi ka sath hai na kisi ka sang hai
meri zindagi hai kya ek kati patang hai

lag ke gale se apne babul ke main na royi
aa
doli uthi yun jaise arthi uthi ho koi
yahi dukh to aaj bhi mere ang sang hai
meri zindagi hai kya ek kati patang hai

sapnon ke devta kya tujh ko karu main arpan
patjhad ki main hoon chhaaya main aansuon ka darpan
yahi mera roop hai yahi mera rang hai
meri zindagi hai kya ek kati patang hai
Song#: 4590
Movie: kati patang
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
pyar diwana hota hai mastana hota hai
har khushi se har ghum se begana hota hai

shama kahe parwane se pare chala ja
meri tarah jal jayega yahaan nahi aa
woh nahi sunta us ko jal jaana hota hai
har khushi se har ghum se begana hota hai

rahe koi sau pardon men dare sharam se
nazar aji lakh churaye koi sanam se
aa hi jaata hai jis pe dil aana hota hai
har khushi se har ghum se begana hota hai

suno kisi shayar ne yeh kaha bahot khoob
mana kare duniya lekin mere meheboob
woh chhalak jaata hai jo paimana hota hai
har khushi se har ghum se begana hota hai
Song#: 4589
Movie: kati patang
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
yeh jo mohabbat hai yeh un ka hai kaam
are meheboob ka jo bas lete huve naam
mar jaye mit jaye ho jaye badnaam
rahne do chhodo bhi jaane do yaar
hum na karenge pyar

toote agar saagar naya saagar koi le le
mere khuda dil se koi kisi ke na khele
dil toot jaye to kya ho anjaam

aankhen kisi se na ulajh jaye main darta hoon
yaaron haseenon ki gali se main guzarta hoon
bas door hi se kar ke salaam
Song#: 4588
Movie: kati patang
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
he he
yeh shaam mastani madhosh kiye jaay
mujhe dor koi kheenche teri or liye jaay

door rahti tu mere paas aati nahin
hothon pe tere kabhi pyas aati nahin
aisa lage jaise ke tu hans ke zehar koi piye jaaye

baat jab main karu mujhe rok deti hai kyun
teri meethi nazar mujhe tok deti hai kyun
teri hayaa teri sharam teri kasam mere honth siye jaaye

ek roothi huee taqdeer jaise koi
khamosh aise hai tu tasveer jaise koi
teri nazar ban ke zubaan lekin tere paigaam diye jaaye