Song#: 622
Movie: mehebooba
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
parbat ke peechhe chambeda gaanv
gaanv men do premi rahte hain
hum to nahin woh diwana jin ko
diwane log kahte hain

unki baaten sunte hain kyun chhup kar sab jaane
kya kya baaten karte rahte hain woh ab jaane
un donon ko neend nahin aati kyun rab jaane
taaron ke saath woh jagte hai raat ko
jharanon ke saath bahte hain

milenge ya bichadenge haye raam kya hoga
na jaane un donon ka anjaam kya hoga
muft men ho jayenge woh badnaam kya hoga
ghar se nikalte raste pe chalte
taane hazaar sahte hain
Song#: 623
Movie: manzil
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
rimjhim gire sawan sulag sulag jaaye man
bheege aaj is mausam men lagi kaisi yeh agan

jab ghunghroo onsi bajti hai boonde
armaan humare palken na moonde
dekhe kaise sapne nayan sulag sulag jaaye man

mehfil men kaise kah de kisi se
dil bandh raha hai kis ajnabi se
haye karen ab kya jatan sulag sulag jaaye man
Song#: 4493
Movie: mere jeevansathi
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
e aao na gale laga lo na
lagi buzaado na o jaan e jaan
tum ne jo agan lagaayi hai
to chhoo ke dekho na kahaan kahaan
dekho seene men kaisi hulchul machi hai
o saajna

kaise sharmile ho jaani
aaja aaja aaja na lehra ke
duniya se darte ho to main
saare deepak aayi hoon buza ke
ab to nahi koi ek tum ho ek hum
ta ra ta

behki main behki main behki
saajan kas lo in baahon ka ghera
man hi na tarse milan ke
dilbar pyasa pyasa tan bhi mera
mujh ko in baahon men le lo na sanam
ta ra ta
Song#: 4523
Movie: mere jeevansathi
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
apanon ko kab he shaam mukh dikhlaaoge
aise men bhaaye na phir kab aaoge
ekal bekal panth nihaare
tumre daras ke pyaase tamaam
ke din se ho gayi shaam
aao kanhaaee mere dhaam

ban men aur basti men dekha hai chahu or
tab tum se baandhi hai aashaaon ki dor
ab uljhaao ya suljhaao aan pada hai tum se hi kaam
ke din se ho gayi shaam
aao kanhaaee mere dhaam

is man men aa jaao nainon ke pat khol
saason men dhadkan men mohan tumre bol
tum ko nahin to kis ko pukaaroon mujh ko to aave ek hi naam
ke din se ho gayi shaam
aao kanhaaee mere dhaam
Song#: 4524
Movie: mere jeevansathi
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
chala jaata hoon kisi ki dhun men
dhadakte dil ke taraane liye
milan ki masti bhari aankhon men
hazaaron sapne suhane liye

yeh masti ke nazaaren hai to aise men sambhalna kaisa meri kasam
jo lehraati dagariya ho to phir kyon na chalu main behka behka re
mere jeevan men yeh shaam aayi hai mohabbat wale zamane liye

woh aalam bhi ajab hoga woh jab mere kareeb aayegi meri kasam
kabhi baiyya chhuda legi kabhi hans ke gale se lag jaayegi hay
meri baahon men machal jaayegi woh sachche jhoothe bahaane liye

bahaaron men nazaaron men nazar daalu to aisa laage meri kasam
woh nainon men bhare kaajal ghunghat khole khadi hai mere aage re
sharam se bozal jhuki palkon men jawaan raaton ke fasaane liye
Song#: 4492
Movie: mere jeevansathi
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
diwana le ke aaya hai dil ka tarana
dekho kahin yaaron thukra na de na mera nazrana

aaj ka din hai kitna suhana jhoom raha pyar mera ho
poori ho dil ki saari muraaden khush rahe yaar mera
ho chaand sa jeevan saathi mubarak jeevan men aana

hmm hmm

apen bhi hai kuchh khwaab adhure kaun ab gine kitne haye
sach to yeh hai mere dost ke sapne bhi hai mere apne
ho us ki khushi ab meri khushi hai e dil e diwana
Song#: 537
Movie: mazdoor
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: hasan kamaal
la la la
baat adhuri kyun hai
hum tum itne paas hai phir bhi
itni doori kyun hai

aa aa
baat adhuri kyun hai
dil ki baat na munh pe aaye
yeh majboori kyun hai

jab se tum ko pyar kiya hai aata hai mere ji men
aur na tum ko koi dekhe mere siwa zindagi men
duniya ko yeh baat bata de aakhir chori kyun hai

hum wohi hai dil wohi hai zindagi bhi wohi hai
kuchh huva hai kya huva hai duniya nayi lag rahi hai
har pal dil ke paas ho koi aaj zaroori kyun hai