Song#: 12
Movie: raja rani
Singer(s): asha bhosle
bhupendra
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jab andhera hota hai aadhi raat ke baad
ek chor nikalta hai kaali si sadak pe
yeh awaaz aati hai 
chor chor chor chor chor chor chor chor
shahron ki galiyon men

log band kamron men chain se jab sote hain
yeh jaagta hai saari raat bhagta hai
taale toote hai hote hai jab savera hota hai

sun lo pehre daaron hosh men rahna yaaron
shaam ghumti hai nagan raat jhumti hai
albela mastana woh savera hota hai
Song#: 10
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ho mere chehre ki taraf dekhe na mere meherbaan
aa meri payal se sune bas mere dil ki dastaan

lal chunariya odh ke dil ke tukde jod ke
laaj saram ko chhod ke sab zanjeeren tod ke
ghunghroo baandh liye ke ghunghroo baandh liye

main nachungi aaj se main mar jaoongi laaj se
aa ha
pehre jab gaye toot to kismat jab gayi rooth to
sathi sab gaye chhoot to sab sach ban gaye jhooth to
ghunghroo baandh liye ke ghunghroo baandh liye

dil ka sauda kar liya khaali daaman bhar liya
aa ha
yeh mehfil ki raat hai daulat ki barsaat hai
nagmon ki baraat hai ab ghum ki kya baat hai
ghunghroo baandh liye ke ghunghroo baandh liye
Song#: 14
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
mukesh
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aasmaan pe chandni ka ek dariya bah raha tha
haan to main kya kah raha tha

kah rahe the tum haseena ishq men mushkil hai jeena
haan mujhe ab yaad aaya jab se maine dil lagaya

aaj kaun sa din hai shukrawar hai

waqt yun hi ja raha hai thehro koi aa raha hai
koi musafir hai apne raste ja raha hai
tauba main to dar gaya tha

kah rahe the tum kahani jab se aayi hai jawani
ab suno tum baat aage jab se yeh armaan jaage

aaj kaun si tareekh hai aaj 26 tareekh hai

pyar sapne bun raha hai dekho koi sun raha hai
maali hai baag se kaliyaan chun raha hai
main to dhokha kha gaya tha

yaad karte yeh fasana tum mujhe mat bhool jana
kya diwana hoon main koi jab se meri neend khoyi

are haan yeh kaun sa maheena hai january

rut suhani jhumti hai yeh police kyun ghumti hai
are baba tumhen nahin kisi chor ko dhoondhti hai
dard e furkat sahe rahe the haan to tum kya kah rahe the

haan to main kya kah raha tha
haan to
main kuchh kah raha tha
bolo na bhool gaye
are haan bhool gaya
chalo chalo ghar chale
Song#: 13
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
main ek chor tu meri rani
chori chori le chala main tum ko tum se hi chura ke

ahmm... chor nahi

tu mera raja main teri rani
chal padi sath tere sari duniya ko bhoola ke

hum donon ne dekha hai ek sapna
kahin pe chhota sa ek ghar hai apna
aangan men utari hai chandni raaten
hum baithe karte hai pyar ki baaten
yeh baaten yeh raaten bhool jaaye hum
to humen yaad dilana haan bhool na jaana
kya main ek chor..

kismant ne to hum ko dukh hi baante
apne raste men bikhraye kaante
ho hum ne sajaayi pyar se apni galiyaan
kaante chun chun ke bikhrayi kaliyaan
yeh kaliyaan yeh galiyaan bhool jaaye hum
to humen yaad dilana haan bhool na jaana
kya tu mera raja..
Song#: 16
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
hum donon ne dekha tha ek sapna
kahin pe chhota sa ek ghar tha apna
aangan men utari thi chandni raaten
hum baithe karte the pyar ki baaten
woh baaten woh raaten bhool jaaye hum
to humen yaad dilana haan bhool na jaana

na tum se huee na hum se huee
donon se mohabbat ho na saki
na tum se huee na hum se huee
tum se bhi yeh shikwa ho na saka
hum se bhi shikayat ho na saki

na tha aisa irada kiya tha hum ne waada
magar taqdeer hai yeh koi zanjeer hai yeh
ise hum tod dete zamana chhod dete
magar jeena pada hai jaher pina pada hai
kasam tum tod aaye wafa hum chhod aaye
chalo insaaf kar de khataayen maaf kar de
ho tum se bhi sharafat ho na saki
hum se bhi sharafat ho na saki

falak jo kaam de de jise jo naam de de
badal sakta nahi woh sambhal sakta nahin woh
humara naam kya hai humara kaam kya hai
wohi karna padega wohi karna padega
shareefon men humara nahin hoga guzara
looti ulfat humari gayi izzat humari
tum se bhi hifazat ho na saki
hum se bhi hifazat ho na saki
Song#: 11
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
ja re ja maine tujhe jaan liya re
jaan liya jaan liya re
jaan liya pehchaan liya re

thaam ke dil jo khud hi aahen bharega
aahen bharega aahen bharega
meri dava woh bhala khak karega
sar pe yun hi ehsaan liya re

mandir na dekha sab ne moorat hi dekhi
dil na kisi ne dekha surat hi dekhi
tera bhi maine imtihaan liya re
Song#: 15
Movie: raja rani
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
phir aankh se aansoo barse phir chhayi ghata ghan ghor
likhne walon se kah do likhe ek kahani aur

na kisi ko taras hi aaya na kisi ko aayi laaj
logon ne hans kar dekha phir ek tamasha aaj
lo aasmaan men kat gayi phir ek patang ki dor

phir ek aangan ki chhanv ban gayi parbat ki dhoop
phir ek ganga ki mauj ne badla madira ka roop
phir ek panghat ki rani chal di marghat ki or

kit jaaye ud kar panchhi jis ke na par na baag
aur chaaron taraf shikari baithe failaye jaal
is choron ki nagri men har koi roop ka chor
Song#: 612
Movie: rakhi aur hathkadi
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
achhi nahin sanam dillagi dil e beqaraar se
kyun ro rahe ho chheda tha hum ne tum ko to pyar se
khel hi khel men jayegi ek jaan

kyun ro rahe ho chheda tha hum ne tum ko to pyar se
achhi nahin sanam dillagi dil e bakaraar se
pyar ke khel men kaisa dil kya jaan
achhi nahin sanam dillagi dil e beqaraar se

kahte ho tum to yun hi sahi ke e mere hanseen
saari khata jawani ki hai kusoor aap ka nahin
kar jaate ho shararat jab milte ho pyar se
kyun ro rahe ho chheda tha hum ne tum ko to pyar se
achhi nahin sanam dillagi dil e beqaraar se

chhedu agar to shikwa karo na chhedu to gila 
lagta hai yun ke tum aaj se diwane huve piya
hone lage zara men kyun be ikhtiyaar se
achhi nahin sanam dillagi dil e beqaraar se
kyun ro rahe ho chheda tha hum ne tum ko to pyar se
Song#: 4982
Movie: rakhi aur hathkadi
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
haan aa
tere milan ko kaise chaloon piya ghar se nikal ke 
dekho na dekho na dekho na
dar ke akeli rah jaaoon main thodi door chal ke
dekho na dekho na dekho na

kab se gali men anjaani ghunghta khole khadi diwani
dole badan jaise diya jhilmilaye saari raat jal ke
dekho na dekho na dekho na

boli bole bairi kangna meri hansi udaaye sajna
ban ke kaanta lage paanv men humare ghunghroo halke halke
dekho na dekho na dekho na
Song#: 4986
Movie: rakhi aur hathkadi
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
tum to kya ho ji tum ho meri chhaya
woh roop maine paaya
jahaan men mohabbat kya hai diwanon ko maine sikhlaya

tum to kya ho ji tum ho meri chhaya
woh dil maine paaya
jahaan men mohabbat kya hai haseenon ko maine sikhlaya

dukh men sahara hai yehi meri nazook baahen
mere gore mukhde se jag mag zindagi ki raahen
ke maine hi har ek dil ka charag jalaaya
jahaan men mohabbat kya hai diwanon ko maine sikhlaya

aansoo humare hain tumhare gale motiyon ka gehna
aahen bhari hum ne to kaare huve gori tere naina
he ke har jadoo adaaon ka hain maine jagaya
jahaan men mohabbat kya hai haseenon ko maine sikhlaya
Song#: 4983
Movie: rakhi aur hathkadi
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
aa aa
jiye tumharo laalna 
dole ho mero man ka paalna

palna men chaand jaise jhule aalbela
pahut na dekho is ko rang hoga maila
le kar zara mero aanchra
le kar zara mero aanchra koi daal do na

rupiya asharfi to sab hi lutaaye
aanchal men bhar ke laayi main to duvaaen
laage ise mero umar
laage ise mero umar jiye tumro sona
Song#: 524
Movie: ratnadeep
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
aisa ho to kaisa hoga
aap ho paas to din dhale
paas ho aap to din chadhe

kisi din aisa bhi to ho
raat ki subah hi na ho
raat ke baad bhi raat ho aap ho
aap ho paas to din dhale
la la la la kaisa hoga
bolo aisa ho to..

kisi din hothon se kaho
phoolon se jo kaha tum ne
aaj to phoolon ki raat ho aap ho
aap ho paas to din dhale
la la la la kaisa hoga
bolo aisa ho to..
Song#: 525
Movie: ratnadeep
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulzar
kabhi kabhi sapna lagta hai
kabhi yeh sab apna lagta hai
tum samajha do man ko kya samajhaaoon

mujhe agar baahon men bhar lo
shayad tum ko chain mile
chain to us din khoya maine
jis din tum se nain mile
phir bhi yeh acchha lagta hai
magar abhi sapna lagta hai

chehre par hai aur ek chehra
kaise use hataaoon
mera sach gar tum apna lo
janam janam tar jaaoon
aise sab kaccha lagta hai
sab ka sab sapna lagta hai
Song#: 29
Movie: romance
Singer(s): rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
yeh zindagi kuchh bhi sahi
par yeh mere kis kaam ki
jis ke liye jeete hain log
bas hain kami us naam ki

ho jis ko mahin hai armaan koi
kaisi jawani hai yeh
jis ka nahin hai unwaan koi
aisi kahani hai yeh
na hai khabar agaaz ki
na hai khabar anjaam ki

pyaasa raha main meri gali men
saawan barasta raha
mele men jaise koi akela
aise tarasta raha
poochho na yeh kaise bhala
maine subah se shaam ki

dil behalaane ko likhte hain
dil ke kisse fasaanon men log
rakhte hain heere moti saja ke
apni dookaanon men log
bazaar men keemat hai kya
toote huve is jaam ki
Song#: 4436
Movie: red rose
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel
ho la la
tere bin jeena kya
tere bin marna kya
pyar nibbhana aa gaya aa gaya aa gaya

ho aankh yeh jaam e sharaab hai
gaal yeh laal gulaab hain
nigaahon men hawaaon men fizaaon men
haan khwaab sajaana aa gaya

mausam hai yeh pyar ka
waadon ka ikraar ka
nazaaren hain bahaaren hain sahaaren hain
dil lagaana aa gaya

har lamha hai khumaar ka
dilbar ka dildaar ka
jawani hai rawani hai diwani hai
haan naaz uthana aa gaya
Song#: 609
Movie: red rose
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: vitthalbhai patel
la la
kis ki sadaayen mujh ko bulaayen
anjaane sapne neenden churaayen
teri adaayen jaadoo jagaayen
dharti sawaare mausam sajaaye

ho aisi kahaan thi yeh rut suhani
tab se tujhe dhoondhe meri jawani
ho aane se tere mehki hawaayen
jaagi huee hain saari fizaayen

tere siwa dil ko koi na bhaaye
pyar kahin mera kho na jaaye
ho phoolon se rangeen taaron se ujli
saagar se ghehri meri wafaayen
Song#: 4791
Movie: rang birangi
Singer(s): anuradha paudwal
aarti mukharjee
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
kabhi kuchh pal jeevan ke
lagta hai ke chalte chalte
kuchh der thehar jaate hain

har din ki hulchul se aaj mili khamoshi
chhalki hai tan man men pyar bhari madhoshi
badale badale mausam ke mujhe rang nazar aate hai

yeh ghadiyaan fursat ki roz kahaan milti hain
ab khushiyaan haath mera thaame huve chalti hain
mere saath gagan yeh dharti mera geet madhur gaate hain

kitna bhala lagta hai sooraj ka yeh jharna
ho duniya se door chhup ke yahaan tera mera yun milna
kabhi kabhi diwane pan ki hum had se guzar jaate hain
Song#: 610
Movie: rampur ka lakshman
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
hmm hmm
kya kaha
gum hai kisi ke pyar men dil subah shaam
par tumhen likh nahin paaoon main us ka naam
haye ram haye ram

kuchh likha
haan

achchha aage kya likhoon 
aage

socha hai ek din main us se mil ke
kah daaloon apne sab haal dil ke
aur kar doon jeevan us ke hawaale
phir chhod de chaahe apna bana le
main to us ka re huva diwana
ab to jaisa bhi mera ho anjaam

likh liya
haan
zara padh ke to sunaao na

chaaha hai tum ne jis baawri ko
woh bhi sajanwa chaahe tumhi ko
naina uthaaye to pyar samjho
palken jhuka de to ikraar samjho
rakhti hain kab se chhupa chhupa ke
kya
apne hothon men piya tera naam
Song#: 402
Movie: rahi badal gaye
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
ek baat dil men aayi hai
kahoon ya na kahoon
kahne ka mausam bhi hai
us pe yeh tanhaai hai
kahoon ya na kahoon

kaee baar chaha maine tujhi ko chura loon tujh se
kahin vaadiyon men dil ki duniya sajaa loon tuj se
shayad tu kuchh samajh gayi
isi liye sharmaayi hai
kahoon ya na kahoon

jhalak teri dekhi pehli doosra na bhaaya tab se
mere devta is dil men tu hi tu samaaya tab se
yehi haqiqat hai jo ke
barson talak chhupaayi hain
kahoon ya na kahoon

der se mile hain lekin mil to gaye hain aakhir
chalo phool aashaaon ke khil to gaye hain aakhir
mil ke bhi hum door hain kyun
pyar ki yeh rusvaai hai
kahoon ya na kahoon
Song#: 23
Movie: rocky
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
kya yehi pyar hai
haan yehi pyar hai
o dil tere bin kahin lagta nahi
waqt guzarta nahin

kya yehi pyar hai
haan haan haan yehi pyar hai
o dil tere bin kahin lagta nahi
waqt guzarta nahin

pehle main samajha kuchh aur wajeh in baaton ki
lekin ab jaana kahaan neend gayi meri raaton ki
jaagti rahti hoon main bhi chaand nikalta nahin
o dil tere bin kahin lagta nahi
waqt guzarta nahin

kaise bhooloongi tu yad hamesha aayega
tere jaane se jeena mushkil ho jaayega
ab kuchh bhi ho dil pe koi zor to chalta nahin
o dil tere bin kahin lagta nahi
waqt guzarta nahin

jaise phoolon ke mausam men yeh dil khilte hain
premi hi aise hi kya patajhad men bhi milte hain
rut badale duniya badale pyar badalta nahin
o dil tere bin kahin lagta nahi
waqt guzarta nahin