Song#: 87 | Movie: the train | Singer(s): lata mangeshkar | mohd. rafi | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anand bakshi | | kis liye maine pyar kiya
dil ko yun hi bekaraar kiya
shaam savere teri raah dekhi
raat din intezaar kiya
aankhon men maine kaajal daala maathe pe bindiya lagaayi
aise men tu aa jaaye to kya ho raam duhaai
chhup ke man men armaanon ne lee aisi angadaai
koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai
maine kyun singaar kiya
dil ko yun hi bekaraar kiya
aaj woh din hai jis ke liye main tadapi ban ke radha
aaj mere man ki bechaini badh gayi aur jiyada
pyar men dhokha na ka jaaye yen man seedha sadaa
aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka waada
maine kyun aitbaar kiya
dil ko yun hi bekaraar kiya |
Song#: 570 | Movie: the great gambler | Singer(s): asha bhosle | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anand bakshi | | do labzon ki hai dil ki kahani
ya hai mohabbat ya hai jawani
dil ki baaton ka matlab na poochho
kuchh aur hum se bas ab na poochho
la la
jis ke liye hai duniya diwani
ya hai mohabbat ya hai jawani
yeh kashti wala kya gaa raha tha
koi ise bhi yaad aa raha tha
la la
kisse purane yaaden purani
ya hai mohabbat ya hai jawani
is zindagi ke din kitne kum hain
kitni hai khushiyaan aur kitne ghum hain
la la
lag ja gale se rut hai suhani
ya hai mohabbat ya hai jawani |
Song#: 83 | Movie: teri kasam | Singer(s): amit kumar | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anand bakshi | | yeh zameen gaa rahi hai
aasmaan gaa raha hai
saath mere yeh saara jahaan gaa raha hai
shokh kaliyon ke ghunghat sarakne lage hain
mast phoolon ke dil bhi dhadakne lage hain
yeh bahaaron ka dilkash samaa gaa raha hai
saath mere yeh saara jahaan gaa raha hai
jhoom kar parbaton pe ghata chhaa rahi hai
pyar ki umra shaayad kareeb aa rahi hai
mera dil pyar ki yeh dastaan gaa raha hai
saath mere yeh saara jahaan gaa raha hai
bhool kar raah koi hanseen aa na jaaye
is jagah koi parda nasheen aa na jaaye
is jagah aaj ek nau jawaan gaa raha hai
saath mere yeh saara jahaan gaa raha hai |
Song#: 5010 | Movie: teesra kaun | Singer(s): asha bhosle | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anand bakshi | | achha sanam kar le sitam
kaash na tum se na pyar kiya hota
hum bhi tum se yun hi roothte
dil na agar tumhen diya hota
pyar kiya hai to phir ghum bhi sahna hoga
quid ho ke tere dil men rahna hoga
ho fariyaad rahe ek bulbul ko ud jaana bhi aata hai
hum ne yun lehra ke zulfon ko bikharaya
apne chehre se yeh parda bhi sarkaya
ho fariyaad rahe is dilbar ko sharmana bhi aata hai |
Song#: 4913 | Movie: teesra kaun | Singer(s): asha bhosle | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anand bakshi | | o dilruba ho ho ho tu muskura
koi jiye chaahe mare teri bala se
mera dil mujhe tadapayega
jaan e man tera kya jaayega
aankhon hi aankhon men deep jalaaye ja
na dar khuda se teri bala se
tujhe to ghum e dil dena hai
jaane de tujhe kya lena hai
aankhon se aankhon ki neend churaaye ja
na dar khuda se teri bala se |