Song#: 3940
Movie: bhanwar
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
aankhen milayenge baaten sunayenge
palken bichhayenge zulfen bikhrayenge
phir kisi din
aaj kya karenge
ho aaj phir gana gayege

gaane ke liye yahaan aana kya zaroori tha
jane ke liye yeh bahana kya zaroori tha
achchha maan jaate hain nahin tadapate hain
yeh baat huee na
la la la
mil ke lehrayenge kabhi paas aayenge
kabhi door jayenge roothenge manaayenge
phir kisi din
oho aaj kya karenge
ho aaj phir gana gayege

pyar men gile shikwe ka mauka deti ho
ghar se bula ke raste men dhokha deti ho
achchha chalo theek hai kuchh bhi ho preet hai
waada raha na haan waada
la la la
preet yeh nibhayenge aankhon men basayenge
tum ko na rulayenge hasenge hasayenge
phir kisi din
bhai aaj kya karenge
ho aaj phir gana gayege
Song#: 4325
Movie: bhanwar
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
rang le aayenge roop le aayenge
kaagaz ke phool dhool are dhool
kaagaz ke phool khushboo kahaan se layenge

chhanv le aayenge dhoop le aayenge
kaagaz ke phool kaagaz ke phool
kaagaz ke phool khushboo kahaan se layenge

main kya zamana kahta hai saara
patthar nahi ban sakta sitara
baithe hain kaise masoom ban ke
jin ki taraf hai apna ishara
bhed woh chhupayenge bhed woh chhupayenge
bhed to khul jayenge
kaagaz ke phool phool are dhool
kaagaz ke phool khushboo kahaan se layenge

dekhe nazar ne kuchh log aise
nikle jo kaagaz ke phoolon jaise
ho ho ho
sapne kabhi toot jaate hai jaise
un ko bhoola do tum dil se aise
woh to bhool jayenge
woh to bhool jayenge yaad nahin aayenge
kaagaz ke phool dhool are dhool
kaagaz ke phool khushboo kahaan se layenge
Song#: 4336
Movie: bhanwar
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
karo baaten mulakaten 
aisi raaten jaagi jaagi
soye soye khoye khoye
main aur tu
merry xmax to you

aankhon se karna tum baaten chup rahna
tumne jo khat men likha tha mat kahna
logon se kah doon main dil ka afsana
tum ne samjha hai kya mujh ko diwana
lakh chhupaaon chhup nahin sakte pyar aur khushboo

dekho raaz e dil yeh duniya na jaane
koi dekhe to samjhaana begaane
dil ko lene do lehra ke angdaai
mehfil men dhoondho thodi si tanhaai
aankhon hi aankhon men chalne do pyar ka jadoo
Song#: 505
Movie: bombay to goa
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: rajinder kriashan
he dekha na hay re socha na rakh di nishane pe jaan
kadamon pe tere nikale mera dum hai bas yahi armaan

mit jayenge mar jayenge 
kaam koi kar jayenge
mar ke bhi chain na mile to jayenge yaaron kahaan

katil hai kaun kaha nahi jaay
chup bhi to raha nahi jaay
bulbul hai kaun kaun saiyaad kuchh to kaho meri jaan

ghar se chale kha ke kasam
chhodenge peechha na hum
sar pe kafan baandhe huve aaya diwana yahaan
Song#: 4447
Movie: bada kabutar
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
hay re hay re 
hay re hay re 
yeh dil mera hay re hay re
hay re hay re 
diwana tera hay re hay re 
ho gaya ho gaya kho gaya
kho gaya kho gaya kho gaya

nazar nazar se kahe bahot afsane
ru ru
bahot dinon tak rahe ho tum begaane
ru ru ru ru
rahe na ab kuchh yeh dooriyaan yeh faasle
aao chalo mil jaayen hum gale

the hum mohabbat se kal talak anjaane
ru ru
huva yeh kaise bane tere diwane
ru ru ru ru
ghadi ghadi ab main haathon se dil thaam loon
aahen bharu piya tera naam loon
ho piya main tera naam loon

kabhi kabhi main yeh sochoon khoyi khoyi
he he
ke yeh suhana sa khwab na ho koi
he he he he
tumhi bataao hai yeh haqeeqat ya weham
karne lage hain jo tum se pyar hum
haan

huva hai yun bhi safar men chalte chalte
do ajnabi hum safar bane hai mil ke
nayi hai phir kya yeh baat jo hum tum yahaan
aaj bane hai mil kar ek jaan
haan sanam bane hum ek jaan
Song#: 3222
Movie: bahaaron ke sapne
Singer(s): lata mangeshkar
usha mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
kya jaanoo sajan hoti hai kya ghum ki shaam
jal uthe sau diye jab liya tera naam

kaanton men main khadi nainon ke dwar pe
nis din bahaar ke dekhoon sapne
chehre ki dhool kya chanda ki chandni
utari to rah gayi mukh pe apne

jab se mili nazar maathe pe ban gaye
bindiya nayan tere dekho sajna
dhar li jo pyar se meri kalaaiyaan
piya teri ungaliyaan ho gayi kangna
Song#: 219
Movie: betaab
Singer(s): lata mangeshkar
shabbir kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jab hum jawaan honge
jaane kahaan honge
lekin jahaan honge wahaan fariyaad karenge
tujhe yaad karenge

yeh bachpan ka pyar agar kho jaayega
dil kitna khaali khaali ho jayega
tere khayaalon se ise abaad karenge
tujhe yaad karenge

aise hansti thi woh aise chalti thi
chaand ke jaise chhupti aur nikalti thi
sab se teri baaten tere baad karenge

tere shabnami khwaabon ki tasveeron se
teri reshami zulfon ki zanjeeron se
kaise hum apne aap ko azaad karenge

zahar judaai ka peena pad jaaye to
bichhad ke bhi hum ko jeena pad jaaye to
saari jawani bas yun hi barbaad karenge
Song#: 4830
Movie: bahurani
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
o o
woh kya the aur hum ne unhen kya samajh liya
patthar ke but ko kaise devta samajh liya

un ko to dil se yun hi khelna tha chand roz
hum ne tamaam umr ka rishta samajh liya

hum ne suna tha chehra yeh dil ki kitaab hai
matlab har ek labz ka ulta samajh liya

sab kuchh luta ke dil ko yeh rusvaaiyaan mili
hum ne inhen bhi pyar ka tohfa samajh liya
Song#: 4801
Movie: bahurani
Singer(s): asha bhosle
kavita krishnamurti
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
ha ha
aa aa
katori pe katora chhora chhori se bhi gora
chit chori kare chhora chhora chhori se bhi gora
ho gora pasand hai ya kala pasand hai
bol tujhe kaisa ghar wala pasand hai
are re re chhodo na na na chhedo na
kaise bataaoon tumhen kaise samajhaun
meri pasand meri palakon men band hai
haan haan

gore ko hoga mushqil bithana
kale ko dega taana zamana
sajana ho gora chahe ho kala
hoga usi se rishta nibhana
gora bhaav khayega kala dil jalaayega
neend ud jayegi chain nahi aayega
bol tujhe kaisa ghar wala pasand hai

la la la
aa aa

dulha ho lamba ya kad ka chhota
ho dubla patla ya tagda mota
sajana mera woh ho chahe jaisa
bas yeh duva hai dil na ho khota
lamba zulm dhaayega chhota seham jayega
kaise boz uthayegi mota jo mil jayega
bol tujhe kaisa ghar wala pasand hai

ho sun ri saheli hum ne suna hai
babul ne shahri dulha chuna hai
chhore shahar ke hote hai bhanware
fashion ki titli par daale dore
jaise woh honge waisa banungi
apne piya ka dil jeet loongi
agar fisal jayegi sambhal nahi payegi
humen na bataaye to kise tu bataayegi
bol tujhe kaisa ghar wala pasand hai
Song#: 5303
Movie: balika badhu
Singer(s): bhupendra
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jagat musafir khana laga hai aana jaana

chaand chhupe to sooraj nikle
sooraj doobe ho jaye shaam
rut aaye rut jaaye mausam
aane jaane ke hai naam
o jogi kis ka kaun thikana laga hai aana jaana

dekhe pahunche kaun kahaan par
raahi nikla gaata hasta
sab ki apni apni manzil
apna apna rasta
o jogi jeevan path anjaana laga hai aana jaana

maa bachchon se milne aaye
phir vaapas ghar jaaye
o jogi yeh dastur purana laga hai aana jaana
Song#: 6984
Movie: balika badhu
Singer(s):
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
jagat musafir khana laga hai aana jaana

chaand chhupe to sooraj nikle
sooraj doobe ho jaye shaam
rut aaye rut jaye mausam
aane jaane ke hai naam
o jogi kis ka kaun thikana laga hai aana jaana

dekhe pahunche kaun kahaan par
raahi nikla gaata hasta
sab ki apni apni manzil
apna apna rasta
o jogi jeevan path anjaana laga hai aana jaana

chaar dinon ka mel re bhaiyya
jis ne saare khel rachaaye
maa bachchon se milne aaye
phir vaapas ghar jaaye
o jogi yeh dastur purana laga hai aana jaana
Song#: 554
Movie: balika badhu
Singer(s): amit kumar
purnima (sushma shreshtha)
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
bade achhe lagte hai
kya
yeh dharti yeh nadiya yeh raina
aur
aur tum

o maazi re jaiyyo piya ke des

hum tum kitne paas hai kitni door hai chaand sitare
sach poochho to man ko jhoothe lagte hai yeh saare
magar sachche lagte hai
yeh dharti yeh nadiya yeh raina
aur
aur tum

tum in sab ko chhod ke kaise kal subah jaaogi
mere saath inhen bhi to tum yaad bahut aaogi
bade achhe lagte hai
yeh dharti yeh nadiya yeh raina
aur
aur tum

hmm
Song#: 5046
Movie: balika badhu
Singer(s): rahul dev burman
Music: rahul dev burman
Lyrics: anand bakshi
hoom hoom na
are doli men savaar sajani ka pyar
chalo re kahaan chalo chalo us paar
kahaan gori ke dwar
hoom hoom na

o lamba hai safar thak nahi jaana tum
ho nayi hai dagar kahin kho na jaana tum

ho kahin dhup kahin chhanv
ram ji ka le ke naav
mail ke uthaao paanv
door hai bahot gaanv
raste men ped khade hai gum sum

are peepal ke neeche se
panghat ke peechhe se
are aam begeeche se
chalo jaise chale gaj raj jhum jhum

halki savari hai dulha sala bhari hai
are jaldi chalo jaldi chalo jaldi chalo
o bhabhi dulha dekhna hai
wahaan kyun khadi ho aao aao
jaldi chalo jaldi pehle raat ki tayaari hai
door kahin damru bajaaye dum dum

are paalki men raja hai
aage band baaja hai
hum se akad mat kutte ki dhum

sun baat khol naina
boli tote se maina
hahakaar machi bhaagi raavan ki sena
ban men ghumaayi hanuman ji ne dhoom

natkhat harjaai bade krishna kanhaai
jamuna ke tat par bansi bajaayi
naach uthi radha chhan num chhan num
Song#: 502
Movie: bandhe haath
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
hmm hmm
kya jaano main hoon kaun maara huva zindagi ka
mujh ko to mehfil men laaya hai pyar kisi ka
lag ke gale se phir bhi machal na saku main
dekho yeh mere bandhe haath
kaise milu tum se chahun to mil na saku main
dekho yeh mere bandhe haath

murzaaye gul ke paas jaise bahaar ki baahen
mere paas waise hi faili hai yaar ki baahen
thaam ke in ko phir bhi sambhal na saku main
dekho yeh mere bandhe haath

seene men dil mera kehna ko pyar ka dil hai
dhadke na khul ke jo woh bekarar sa dil hai
jalta hoon lekin pahlu badal na saku main
dekho yeh mere bandhe haath
Song#: 4438
Movie: bandhe haath
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
yeh kaun aaj aaya mera dil churane
mujhe mujhe mujhe hay mujhe
mujhe loot kar meri duniya basa ne

mere sanam ke aane ki yeh ada dekhna ke peechhe fire jahaan
us ke liye
chadhta huva usi ka nasha yeh aankhon men hai mera husn hai jawaan
us ke liye
duniya kitni rangilee hai
jaise maine kuchh pee li hai
giri main giri thaamna o zamane

aa mere dil ke mehmaan aa machalta hai meri nas nas men bekarar
hay tera pyar
saanson men dekh armaan koi machaata hai ek hulchul si bar bar
hay tera pyar
tu kya aaya meri mehfil men
ek shola sa bhadka dil men
ke main bhi shama si lagi zilmilane
Song#: 4437
Movie: bandhe haath
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
la la
tune chheen liya dil ka chain piya
are mar gayi main to aaja jaan e jaan
gale lag ja

paas aaja doori se ji ghabaraata hai
tera milan to aafat mujh pe dhaata hai
ho kaisa kaisa chehre pe rang aata jaata hai
phir aaja mere paas bhanwra sa jhoom le
phir chhoo ke mera tan phoolon ko choom le
tu ru ru
la la

meri pyasi pyasi aankhon men chhup ja
khuli khuli baahon tak aa ke na ruk ja
o armaanon ki jwala pe baadal ban ke jhuk ja
sun le o dilruba ab na kar bekaraar
yen mausam pyar ka aaya hai pehli baar
ru ru ru
la la
Song#: 4446
Movie: bada kabutar
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
tu tu ru tu
pa pa
raaz ki ek baat hai raaz ki ek baat hai 
baat yeh raaz ki aaj rahne do
kaanpte kaanpte hothon se kehne do
aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam

chhata hai mujh par jab koi nasha
aankhen ho jaati hai gulaabi
behki behki chalti hoon
chalti hoon main jaise sharaabi
soti hoon main kyun jaagi jaagi
tu tu ru tu
aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
kyun
raaz ki ek baat hai

poochhe koi jab yeh hai haal kya
soojhe nahi koi bahana
gehri gehri saans loon
main saans loon dekhe zamana
kyun ban gayi main ek fasana
tu tu ru tu
aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
kyun
raaz ki ek baat hai

aa re jaan e jaan main hoon yeh bata
haye mera yeh raaz kya hai
kab yeh kaise kya kahoon
hay kya kahoon dil kho gaya hai
tum se mujhe pyar ho gaya hai
pyar ho gaya hai
tu tu ru tu
aaj na aayegi mujhe duniya ki koi sharam
Song#: 4445
Movie: bada kabutar
Singer(s): bhupendra
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
bada kabutar ud jayega
haath men anda rah jaayega
fut jaayega anda ek din
bada kabutar ud jayega

koi na samjha koi na jaana haye yeh gorakh dhanda
pehle jag men aaya kabutar ya phir aaya anda
pa pa
aur ulajh jaayega are jo is ko sulajhaayega
bada kabutar ud jayega

dekh samay ka shokh kabutar chalta hai kyun ud ke
jaise tej hawa ka jhonka dekhe na phir mud ke
pa pa
saath chala chal is ke varna haath nahi kuchh aayega
bada kabutar ud jayega
Song#: 4443
Movie: bada kabutar
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
chandamama bole taaren bhi bole
nazaaren bhi bole tu so ja re
nahin soye re kaahe roye re o munna
chandamama bole taaren bhi bole
hum saare bole tu so ja re

are dekhe kaahe julmi chori chori
tere liye gaati hoon main lori
hay fans gayi meri jaan kahaan yeh aa ke
pad gayi kaisi hay gale men dori
dil ghabaraaye kaahe tadapaaye o munna

main to jaagi hoon diwani ho ke
kyun phir sab ki neend udaaye ro ke
din bhar to chup chaap raha tu pyare
khub nikaale ab rone ke mauke
meri tauba re kya hoga re o munna
Song#: 4444
Movie: bada kabutar
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: yogesh
mubarak ho yeh raat jawaan yeh khushi ka samaa yeh haseen jahaan
are tujh ko teri jaan

dekho behki behki hai raat ki ada
armaanon ko madhosh de rahi hai sada
tu tu
jhoomo gaao rang jamaao tu ru ru
mubarak ho

jis ke dum se is mehfil men yeh shor hai
tere ghar men dil ka woh aa gaya chor hai
tu ru
kar doon us pe dil yeh sad ke tu ru ru
mubarak ho

jis ki marzi soche kya jeet kya haar hai
kyun woh soche ke paa liya pyar hai
tu ru
khushiyaan bhadke ab dil dhadke tu ru ru
mubarak ho
Song#: 592
Movie: bade dilwala
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
la la la la la
jeevan ke din chhote sahi hum bhi bade dilwale
kal ki humen fursat kahaan soche jo hum matwale

jeene ka rangeen mausam yeh khub surat zamana
apne yahin chaar pal hai aage hai kya kis ne jaana
jeena jise aata hai woh in men hi mauj mana le
kal ki humen fursat kahaan soche jo hum matwale

yeh zindagi dard bhi hai yeh zindagi hai dawa bhi
dil todna hi na jaane jaane yeh dil jodna bhi
is zindagi ka shukriya sad ke main oopar wale
kal ki humen fursat kahaan soche jo hum matwale

la la la la la
Song#: 593
Movie: bade dilwala
Singer(s): lata mangeshkar
udit narayan
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
jeevan ke din chhote sahi hum bhi bade dilwale
kal ki humen fursat kahaan soche jo hum matwale

la la la la la

yeh zindagi dard bhi hai yeh zindagi hai dawa bhi
dil todna hi na jaane jaane yeh dil jodna bhi
is zindagi ka shukriya sad ke main oopar wale
kal ki humen fursat kahaan soche jo hum matwale

kitni mubarak hai yeh shaam apanon se apne mile hai
bheegi si palakon men jaise chaand aur sitaaren khile hai
e dil isi mamta ki chhaanv men aapni manzil pa le

la la la la la
Song#: 591
Movie: bade dilwala
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
kahin na ja aaj kahin mat ja
phir mile na mile yeh pal yeh samaa
baahon men aaja

yeh jo bas men kadam nahin tere
main sambhaaloongi tu aa sang mere
tere dil ki manzil hai yahaan

jaan e wafa sach hai kis ko pata
phir mile na mile yeh pal yeh samaa
baahon men aaja

meri raahon ka diya teri aankhen
mere ghum ki dawa teri baaten
to phir aur jaana hai kahaan
o aa aa

uljhan teri main sab janoo
tujhe teri tarah pehchanu
jo main hoon to ghum kya jaan e jaan

o jab dil huva tera diwana
thokar men hai saara zamana
mera kya karega yeh jahaan
Song#: 594
Movie: bade dilwala
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
kaho kaise rasta bhool pade achchhe to ho dilbar jaan
awaaron ki kya poochh rahe apni kaho dilbar jaan
he

hum pe kya kya guzri tum kya sun paaoge
nazook sa dil rakhte ho rone lag jaaoge
he he

raste ruk jaate hai jab kaante boti hai
jaan e jaan tum kya jaano duniya kya hoti hai
he he

ban ja re kis ke yaar aisa sab kehte hain
hum jis ke ho jaate us ke hi rahte hain
he he
Song#: 595
Movie: bade dilwala
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
he aaya sanam aaya diwana tera
o sanam o sanam o sanam 
anokha ishq mera nirali aan baan
nishane par yeh dil hai hatheli par hai jaan
o jaani o jaani o jaani o jaani

ru ru ru

wohi nahi ya main hi nahi ab yaar ki mehfil men
main bhi to dekhu zor hai kitna baaju e kaatil men
tere peechhe to main hoon mere peechhe jahaan
nishane par yeh dil hai hatheli par hai jaan
o jaani o jaani o jaani o jaani

ru ru ru

dekh raha main sar pe mere maut khadi muskaay
phir bhi tujh ko pyar karunga jaan rahe ya jaay
anokha ishq mera nirali aan baan
nishane par yeh dil hai hatheli par hai jaan
o jaani o jaani o jaani o jaani
Song#: 596
Movie: bade dilwala
Singer(s): lata mangeshkar
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
tujh men kya hai diwane
jaan e man tu kya jaane
aaja mil ke sun ja mere dil se

he sab sun liya dil ne kaha
pyar huva ikraar huva
la la la

yeh to hai meri jaan kadradaani aap ki
tum ne mujh ko chaaha meherbani aap ki
mili hai nayi zindagani
jhoome fiza gaaye hawa
pyar huva ikraar huva
la la la

are ho gaye hum to diwane
jaan e man tu kya jaane
aaja mil ke sun ja mere dil se

yeh mausam diwana yeh samaa jadu bhara
aao meri baahon men samaa jaao zara
tere siwa kaun mera
aao suno dil ki sadaa
pyar huva ikraar huva
la la la

ab na hum tumhare dil se niklenge kabhi
duniya chaahe badale hum na badalenge kabhi
kasam hai humari wafa ki
o o
rukenge na hum ab to sanam
pyar huva ikraar huva
la la la
Song#: 4950
Movie: bahaaron ke sapne
Singer(s): mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
zamane ne maare jawaan kaise kaise
zameen kha gayi aasmaan kaise kaise

pale the jo kal rang men phool men
kahin kho gaye raah ki dhool men
huve dar badar kaarvaan kaise kaise

hazaaron ke tan jaise sheeshe ho choor
jala doon tumhen kitni aankhon ka noor
hai gairon pe ghum ke nishaan kaise kaise
Song#: 598
Movie: bahaaron ke sapne
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
aaja piya tohe pyar doon
gori baiyya to pe vaar doon
kis liye tu itna udaas
sookhe sookhe hoth aankhiyon men pyaas
kis liye kis liye
ho ho

jal chuke hai badan kaee piya isi raat men
thake huve in haathon ko de de mere haath men
ho sukh mera le le main dukh tere le loon
main bhi jiyun tu bhi jiye

hone de re jo yeh julmi hai path tere gaanv ke
palakon se chun daaloongi main kaante tere paanv ke
ho lat bikharaaye chunariya bichhaaye
baithi hoon main tere liye

apni to jab aankhiyon se bah chali dhaar si
khil pade wahin ek hansi piya tere ek pyar ki
ho main jo nahi haari sajan zara socho
kis liye kis liye
Song#: 4802
Movie: bahurani
Singer(s): asha bhosle
shailendra sing
Music: rahul dev burman
Lyrics: anjaan
duniya ki nazaron se chhup ke mile
lagta hai dar koi dekh na le
thoda thoda dar thoda pyar ka nasha
chori chori milne ka aur maza

koi jaane na viranon men
sab ki nazar se chhup ke mile do dil tanaha
sehmi nazar dari dari yeh ada
chori chori milne ka aur maza

kya mausam hai nashili hawa
kab se tarse dil dil ki yeh pyaas buza
are milenge piya aisi jaldi hai kya
he chori chori milne ka aur hai maza

pyaase do dil jaayen bhi kahaan
dil walon ki dushman hai yeh sari duniya ho ho
chhup ke bhi to na yeh pyar chhupa
chori chori milne men mila kya maza

milna hai to khul ke mil ja
pyar kiya to duniya ka dar kya
Song#: 244
Movie: bond 303
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
ab jo hoga so hone do yeh dil rasm e jahaan na maane
duniya jalti rahe haath malti rahe
haathon men haath le ke chal diye hai pyar ke diwane

dil ka yeh sauda dil se kiya hai
dil jo liya hai dil bhi diya hai
are pyar kiya hai koi jurm nahi
duniya jalti rahe haath malti rahe
haathon men haath le ke chal diye hai pyar ke diwane

la la

kitne jawaan hai apne irade
toote kabhi na pyar ke waade
ab hum tum na honge juda
duniya jalti rahe haath malti rahe
haathon men haath le ke chal diye hai pyar ke diwane

chhaye kabhi jo ghum ki ghataayen
masti men hum tum badhte hi jaayen
hum ko zamana rokega kab tak
rukti kahaan hai tej hawaayen
jism hai do hum ek hai jaan
duniya jalti rahe haath malti rahe
haathon men haath le ke chal diye hai pyar ke diwane

la la
Song#: 241
Movie: bond 303
Singer(s): kishore kumar
rahul dev burman
anette
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
ju ju ju ju
are ju ju ju ju
e dil agar jawaan hai to hai to aadmi jawaan hai
are zindagi hai us ki jis pe jis pe husn meherbaan hai

dil agar jawaan hai to aadmi jawaan hai
zindagi hai us ki jis pe husn meherbaan hai
husn meherbaan hai

ha ha
ru ru

jeena hai to duniya men pa pa apna rang jama ke ji
masti ka yeh paimana sab se takra ke pee
pyar ke nashe men jhoom is men teri shaan hai
are zindagi hai us ki jis pe husn meherbaan hai
husn meherbaan hai

pa pa

bina piye hi aata hai pa pa dil ko josh jawani men
kis ko rahta hai yaaron hosh jawani men
jawani ek teer baki zindagi kamaan hai
are zindagi hai us ki jis pe husn meherbaan hai
husn meherbaan hai
Song#: 240
Movie: bond 303
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
raste men kal ek ladki mili
door talak mere saath chali
aankhon hi aankhon men baaten huee
poochho na phir kya huva

to kya huva
huva huva kuchh huva huva

kal jo bhi mili tere aage sanam teri kasam kuchh nahin
teri kya adaayen hai mast nigaahen hai tu hai kitni haseen
kya huva

tera jawaab to milega hi nahi jahaan men e jaan e jaan
pehlu men aa zara itna bata zara abhi tak tu thi kahaan
kuchh huva

hukka huva
Song#: 243
Movie: bond 303
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
main hoon lily aayi hoon tujh ko de ne dil
pyar se to mil
jis ki tujh ko talaash hai woh mujh se kar le hasil

tujh ko dekha to yun laga
mujh men samaaye ja raha hai tu
mujh ko mujh se hi jaane e jaan
begana banaaye ja raha hai tu
yahaan sabhi ki nazar hai mujh pe yahi to hai mushqil

mil kahin raat ki tanhaai men
haal e dil phir main batlaoongi
jis liye aaj tu bechain hai
raaz ki baat woh samjhaaoongi
anjaanon se beganon se bhari hai yeh mehfil

mahim ke aage jo woh pool hai
us ke baaye tu mud jaana
aage phir thodi si unchaai hai
kone men hai wahaan maikhana
chau raste pe nayi imaarat saatvi hai manzil

la la
Song#: 242
Movie: bond 303
Singer(s): amit kumar
suresh wadkar
kalyani
Music: rahul dev burman
Lyrics: gulshan bawra
ha ha
chal yahaan se yeh to diwane lagte hai

are main tera diwana
yeh kaise tu ne jaana
zara meri jaan yeh bata
suno dil wali chahe de tu gaali
chhodu na peechha tera

he he
awaara lofar

are dabe dabe hothon men chhupaati hai hansi
hasegi fasegi hasegi fasegi 
dekho to diwanon ki udaati hai haseen
hasegi fasegi are hasegi fasegi 
aise na dil jala
ho ho

yeh to gunde hai badmaash
kisi ko to degi dil kabhi na kabhi
e haseen are dil nashi e haseen dil nashi
kabhi wali baat kyun na ho jaaye abhi
e haseen e dil nashi are haseen dil nashi
dil hai aashiq tera
ho ho
Song#: 601
Movie: buddha mil gaya
Singer(s): asha bhosle
kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
bhali bhali si ek surat bhala sa ek naam
dhadkan hai mere dil ki subah ho ya shaam
kaun hai woh dilruba are kaho na hum se zara
haan oy lo na na na oy oy tum ho woh dilruba

huee mere bhi jiya ki chori 
achchha
are haan us chor ki shakal hai gori
to kya huva
ho gaya milna bahot zaroori
chal pagli
phir suno to aage humare dil ki majboori
tu tu
woh jo mere kareeb aaya
oho
mere tan pe pada jo saaya
phir kya huva
yun samjho na gale lagaaya
chhi chhi chhi
tab se soti hoon jaagti hoon le ke us ka naam
kaun hai woh dilruba kaho na hum se zara
oy lo la la la oy oy tum ho woh dilruba

hay mushkil hai mera bhi jeena
sochu to aata hai paseena
baap re
kal maine dekhi ajab haseena
pyar men us ke dhadke mera dil jalta hai seena
dhak dhak dhak
paas woh aayi badi ada se
boli kyon ho khafa khafa se
hay mar jaaoon
hum bhi the ek nazar ke pyase
khon nahin
dil pe usne jo haath rakha aa gaya araam
kaun hai woh dilruba kaho na hum se zara
oy lo na na na oh oh tum ho woh dilruba
Song#: 600
Movie: buddha mil gaya
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
aa aa
ho jiya na lage mora
na ja re na ja re na ja

kaahe pat khola tune mere dwar ka
haan aaya barason men koi jhonka pyar ka
haan do pal to thahar ja mohe itna bhi na sata

aa

sun ke meri baaten palak teri kyun jhuki
achchha re bedardi ja nahin main rokti
haan yeh hai tera rasta kahin ja sakta hai to ja
Song#: 632
Movie: buddha mil gaya
Singer(s): kishore kumar
Music: rahul dev burman
Lyrics: majrooh sultanpuri
raat kali ek khwaab men aayi aur gale ka haar huee
subah ko jab hum neend se jaage aankh tumhi se chaar huee

chahe kaho ise meri mohabbat chahe hansi men uda do
yeh kya huva mujhe mujh ko khabar nahi ho sake tumhi bata do
tum ne kadam to rakha zameen par seene men kyun jhankaar huee

aankhon men kaajal aur laton men kaali ghata ka basera
saanwli surat mohni moorat sawan rut ka savera
jab se yeh mukhda dil men khila hai duniya meri gulzaar huee

yun to haseenon ke mahjabinon ke hote hai roz nazaare
par unhen dekh ke dekha hai jab tumhen tum lage aur bhi pyare
baahon men le loon aisi tamanna ek nahin kaee baar huee