Song#: 401
Movie: chor police
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
tum se mil ke zindagi ko yun laga
jaise hum ko sari duniya mil gayi
dil men jaagi dhadkanon ki ragini
har tamanna phool ban ke khil gayi
la la

hothon se vaade likhe
aankhon se aankhen padhe
toote na yeh chahton ka silsila

la la

baahon men mausam khule
khwabon ke chehre dhule
tum se pehle har khushi thi be wajah
Song#: 400
Movie: chor police
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
aaj mera dil jhoom jhoom gaaye ha
dil tere bin chain nahi paaye ha
aaja meherbaan masti bhara samaa
behke nashe men main aur tu

sari mehfil men chhayi hai bahaar
kahin inkaar hai kahin ikraar
ho ho
jaam takarayenge aaj lehrayenge
gale lag jaye aaj main aur tu

kin se nazar bachaaye aur
kin se nazar milaay
in se ghabaraye ya un se sharmaay
he he
ho ho
thodi nazakat hai thodi shararat hai
milte rahe yun main aur tu
Song#: 430
Movie: chor police
Singer(s): asha bhosle
Music: rahul dev burman
Lyrics: nida fazli
simba simba
ho meri jawani hai chandi sona
koi na chahe mujh ko khona
simba simba
main raaton ki rani hoon
main sab ki kahani hoon
koi na jaane mere dil men kya hai
simba simba

chaaron taraf hai shikari nigaahon ka ghera
meri jawani ka mausam hi dushman hai mera
ho main khwabon men aati hoon
main neenden churaati hoon
koi na jaane mere dil men kya hai
simba simba

main aisa parda hoon parde ke peechhe hai parda
parda uthaya to kho jayega sara jalwa
jo jaal bichhayega
woh kuchh bhi na payega
koi na jaane mere dil men kya hai
simba simba
Song#: 3342
Movie: chhote nawab
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: shailendra
ghar aaja ghir aaye badara sawariya
mora jiya dhak dhak re chamke bijuriya

soona soona ghar mohe dasane ko aaye re
khidki pe baithe baithe saari rain jaaye re
tap tip sunat main to bhayi re baawariya
ghar aaja ghir aaye

kasamas jiyra kasak kori duni re
pyasi pyasi aankhiyon ki galiyaan hain sooni re
jaane mohe laagi kis bairan ki najariya
Song#: 4659
Movie: chhote nawab
Singer(s): lata mangeshkar
mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: shailendra
aaj huva mera dil matwala
gaate chale hum pyar ki sargam
tu hi bata humdum mere kis ne yeh jadoo daala

o bheegi fizaayen thandi hawayen
hum ko kahaan le chali
ho kaanon men pyar ka yeh payaam de chali
dil men huva ujiyaala

ho khwaabon men jis ki khoye huve the
aakhir woh din aa gaya
ho thi jis ki aarzoo dil muraad pa gaya
sang hai mera dilwala

daaman men mere moti bikhere yeh kaun dil men hansa
o ban ke bahaar kaun zindagi pe chha gaya
khwaabon ko mere rang daala
Song#: 510
Movie: chhote nawab
Singer(s): lata mangeshkar
mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: shailendra
u la la
ya ya
la la loo loo
la la ya ya
la la

ho matwali aankhon wale o albele dilwale
dil tera ho rahega gar tu ise apna le

ho tujh ko shayad dhokha ho gaya
sun e haseen main woh nahi main woh nahi
ho tu hai to mehfil men rang hai
tu jo nahi kuchh bhi nahi 
hay hay kuchh bhi nahi 

ho jab se tujh ko dekha ek nazar
mujhe kya huva mere dilbar mere dilbar
ho mujh pe apna jadu na chala
kaha mera sun kahin aur ja
kahin aur ja

o main teri duniya men ajnabee
kahin aur hai manzil meri manzil meri
ho kah sun le do baaten pyar ki
duniya teri mehfil teri mehfil teri
Song#: 3341
Movie: chhote nawab
Singer(s): lata mangeshkar
Music: rahul dev burman
Lyrics: shailendra
chura ke dil ban rahe hain bhole
jaise kuchh hay jaise kuchh jaante nahin
koi bataao ke hum kare kya
woh hum ko pehchaante nahin

abhi chand roz pehle pehli mulakat men
kuchh keh rahe the hum se haath le ke haath men
daal gaye jadu hay jadu baat baat men

aaj bhi suroor chhaya kal bhi suroor tha
itna sa fark lekin kehne ko zaroor tha
kal pinewala maikde se door door tha

woh bhi ek raat pyaare yeh bhi ek raat hai
aur hi thi baat tab ki aaj aur baat hai
jaane woh kahaan hai jo yahaan hai aur saath hai
Song#: 4663
Movie: chhote nawab
Singer(s): lata mangeshkar
mohd. rafi
Music: rahul dev burman
Lyrics: shailendra
jeenewale muskura ke ji
khushi ke jaam muskura aur pee
khabar kis ko 
aha aha
ke kal kya ho 
oho aha
are yeh do din ki hai zindagi

khub hai yeh falsafa aap ka
kal ko goli maar do are wah wah
khub ho tum aur kya kehne hai tumhare mehfil ke

lakh bach bach ke chaloon is raah par
dhokha de hi jaayegi tumhari nazar
milti hai manzil jab chalte hai donon hi hilmil ke

zindagi kya cheez hai kya jaano tum
ho sake to khud ko hi pehchano tum
patthar dil tum kya jaano mehmaan ho kis dil ke