Song#: 471 | Movie: ghar | Singer(s): lata mangeshkar | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: gulzar | | tere bina jiya jaaye na
bin tere tere bin saajna
saans men saans aaye na
jab bhi khayaalon men tu aaye
mere badan se khushboo aaye
mehke badan men raha na jaaye
raha jaaye na
reshmi raaten roz na hongi
yeh saugaaten roz na hongi
zindagi tujh bin raas na aaye
raas aaye na |
Song#: 437 | Movie: ghunghroo ki aawaaz | Singer(s): asha bhosle | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: vijay anand | | ankhiyon ka kajra
haathon ka gajra
kaanon ka jhumka
kiske liye
meri jaan mera sab tera
kajra yeh gajra yeh kangna to kuchh bhi nahin
chanda sitaren tumhare bana doon to kuchh bhi nahin
jo mandir mere man ka tha mera ab tera
ho mere dil ka jahaan
jahaan tum mehmaan
yeh hazaaron armaan
bolo kis ke liye
meri jaan mera sab tera
gaalon ki laali yeh hoton ki pyali ab teri na rahi
aankhon ki masti yeh shikhi yeh hasti ab teri
muskurahat jeevan ki thi teri ab meri
bozal bozal
yeh aag bhara dil
..
mera dil tera tera mera |
Song#: 474 | Movie: ghar | Singer(s): lata mangeshkar | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: gulzar | | aap ki aankhon men kuchh mahke huve se raaz hain
aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hain
lab hile to mogare ke phool khilte hain kahin
aap ki aankhon men kya sahil bhi milte hain kahin
aap ki khamoshiyaan bhi aap ki awaaz hain
aap ki baaton men phir koi shararat to nahin
be vajeh taarif karna aap ki aadat to nahin
aap ki badamashiyon ke yeh naye andaaz hain |
Song#: 5058 | Movie: gehra zakham | Singer(s): kishore kumar | sapan chakravarti | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli | | aisa ho to kaisa ho
ladki bhaage kismat jaage
jeb men apne paisa ho
chehron ki chandni hai zulfon ki badaliyaan hain
rangeen mehfilon men jismon ki bijaliyaan hain
jaisa chaahe waisa ho
masti chhalak rahi hai armaan machal rahe hain
paani se bheege bheege sholay nikal rahe hain
yehi khel hamesha ho
baa adab baa mulahiza hoshiyaar
aalam panha ki sawari aa rahi hai
duniya se ja ke keh do achchhi hai woh jahaan hai
milne ki ab kisi se fursat humen kahaan hai
haye phir jo aana ho |
Song#: 5061 | Movie: gehra zakham | Singer(s): asha bhosle | mohd. rafi | udit narayan | | Music: rahul dev burman | Lyrics: vitthalbhai patel | | are chaal men maal le ke aaya hai
sapnon ko sach kar ke laya hai
aji sab ka udhaar de ne aaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha
ho paisa rupaiyya hum ne diya tha
sood bhi us pe nahin liya tha
oy koche hum theek bolte ke nahin
doodh humara tum ne piya tha
pani mila ke nahin diya tha
lekin wada bhi maine kiya tha
aaya hoon main ab achchha hoga sab
yeh to kismat ne chakkar chalaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha
ho poore ho gaye sab ke waade
hum hain sajana seedhe saade
haathon men mehndi aaj racha de
maang hai sooni ise saja de
wada poora kar dulhan bana de
aaya hoon main ab achchha hoga sab
yeh to kismat ne chakkar chalaya hai
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha
chaal men maal le ke aaya hoon
sapnon ko sach kar ke laya hoon
aji sab ka udhaar de ne aaya hoon
hum to pehle kaha tha
kaha tha hum to pehle kaha tha |
Song#: 5059 | Movie: gehra zakham | Singer(s): asha bhosle | mohd. rafi | bhupendra | | Music: rahul dev burman | Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli | | hay rabba aadi tappa
chaand sa chehra raat si zulfen hirni jaisi chaal
chain ganwaye neend churaye tere solah saal
oy main sad ke javaan
heere moti se chamkile mere solah saal
mil jaaye yeh jis ko us ko kar de maalamaal
hay main vaari javaan
main tera hoon tu meri
magar phir bhi hai doori
pyasa main bhi aur tu bhi
yeh kaisi hai majboori
mere hothon pe mehka de phoolon jaise gaal
oy main sad ke javaan
milan ho to kaise ho
jawani pe hai bandhan
yeh duniya meri teri
mohabbat ki hai dushman
mere tere aage peechhe faile hai sau jaal
hay main vaari javaan
wafaayen jurm nahi hain
kisi se darte kyun ho
jahaan men buzdil ban ke
mohabbat karte kyun ho
ab tum dekhna mere yara
haathon ka kamaal
oy main sad ke javaan |
Song#: 5030 | Movie: gehra zakham | Singer(s): asha bhosle | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: vitthalbhai patel | | o mausam bheega bheega
baalam seedha seedha
tera yeh chehra bada suhana jaan leva hai
o mausam bheega bheega
jaanam seedha seedha
tera yeh chehra bada suhana jaan leva hai
bairi yeh jawani meri aaj nahin bas men
bijli si chamke nas nas men
chhaya nasha sa zara zara sa jaan leva hai
ho bahke kadam tere nain hain nasheele
zulfen ghataayen lab raseele
dard e dil yeh zara zara sa jaan leva hai |
Song#: 5060 | Movie: gehra zakham | Singer(s): asha bhosle | amit kumar | suresh wadkar | bhupendra | Music: rahul dev burman | Lyrics: vitthalbhai patel nida fazli | | o kya huva jo na paayi wafa aap se
pyar ko mil gaya rasta aap se
ho kya bataayen humen kya mila aap se
zindagi ko mila aasra aap se
o raaz dil ka kahaan hai chhupa aap se
hai har ek dard ka silsila aap se
sheesha e dil men teri hi tasveer hai
jaan e man munh chhupane se kya fayda
husn shabnam nahi husn shola bhi hai
dekhte dekhte tum badal jaaoge
paas aa hi gaye ho to phir soch lo
jab yeh parda hatega to jal jaaoge
husn ki aarzoo koi aasaan nahi
zindagi ko mitaane se kya fayda |