Song#: 384 | Movie: zabardast | Singer(s): kishore kumar | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | dekho idhar janaab e man kahaan kho gaye
jaan lo ke aaj se mere ho gaye tum
yeh jaan bhi lo yeh maan bhi lo
ho is tarah na jaiye ke e jaan e jaan
tum sa doosra mujhe milega kahaan se
zara to ruko ruko sitam na karo
he he he
ho aarzoo yeh thi ke tum ko apna ke
in labon ko choomte tumhen pyar karte
milo jo mujhe to pyaas boojhe
haan haan haan |
Song#: 385 | Movie: zabardast | Singer(s): asha bhosle | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | are bhool ho gayi jane de sajna
mar jaoongi maan ja maan ja maan ja
sazaa de in aankhon ko ke yeh khata in ki
kaahe na pehchana tujhe
tujhe kya se kya samjha kahoon kya main is dil ko
kaise nahin jaana tujhe
maanti hoon jane de sajna
tujhe main na chahoongi to kaise na chahoongi
main to diwani yaar ki
gile jo bhi dil ke mita le gale mil ke
tujh ko kasam hai pyar ki
chhod gussa jaane de sajna
chalo maaf karta hoon kaha so kaha tum ne
aage na kahna phir kabhi
chala jaoonga varna kahin tum se itni door
dhoondhogi saari zindagi
aur phir pukarogi sajna |
Song#: 382 | Movie: zabardast | Singer(s): asha bhosle | rahul dev burman | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | are suno sitamgar ho mere ho mere
suno e dilbar mere
is mehfil men tum kya aaye
hum jaison ke din phire
dil dhadakta hai dhadke
shola bhadakta hai bhadke
jalta hi raha jeevan jis ka
sholon se woh kya dare
hum mohabbat ke pyaase
tum adaawat ke pyaase
donon doob chale itna barse
yeh baadal khuda kare |
Song#: 386 | Movie: zabardast | Singer(s): asha bhosle | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | ho karega zamana kya
sach ko chhupana kya
duniya ko aao batala de
tum ho mere hum hain tere
darling hai na bolo hai na
he mera sab kuchh tere liye
tera sab kuchh mere liye
bolo bolo
aakhir ko hai
aakhir ko hai biwi miyaan
darling hai na bolo hai na
aaye huve honeymoon pe hai
haan haan
hum to yahaan may june se hai
aur aaj hi
aur aaj hi hai waapsi
darling hai na bolo hai na |
Song#: 383 | Movie: zabardast | Singer(s): kishore kumar | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | jab chaha yara tum ne
aankhon se maara tum ne
hothon se zinda kar diya
are tumhari marzi pe chal rahe hai
khata humari kya ho
chalo ji hum bure sahi chalo ji hum jhoothe hai
magar isi nigaah se hazaar dil toote hain
are kasam se kahna humari surat
nahi hai pyari kya ho
samajh sako to hum safar humen tum apna jaano
udhar nahin idhar chalo kabhi to kahna maano
are lipat ke poochho ke aage marzi
hai ab humari kya ho |
Song#: 192 | Movie: zameen aasmaan | Singer(s): lata mangeshkar | kishore kumar | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: anjaan | | ho main dil diya dil diya dil diya
ghabara ke o sathiya
ho tune dil liya dil liya dil liya
tadapa ke o sathiya
mil ne ko to pehle bhi hum
milte the aksar yahaan
jo aaj hai saanson men thi
kal tak yeh khushboo kahaan
ho gul khil gaya khil gaya khil gaya
kahaan aa ke o sathiya
har pal mere dil men hai tu
ab main kahin bhi rahoon
kehna to main chaahoon magar
tujh se yeh kaise kahoon
kya mil gaya mil gaya mil gaya
tujhe paa ke o sathiya
jo bhi huva achchha huva
yeh raaz e dil khul gaya
dil ki nayi raahon men yeh
kya hum safar mil gaya
gaya dil gaya khil gaya mil gaya
takara ke o sathiya |
Song#: 568 | Movie: zehreela insaan | Singer(s): kishore kumar | | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | o hansani meri hansani
kahaan ud chali
mere armaanon ke pankh lagaa ke
kahaan ud chali
aaja meri saanson men mahak raha re tera gajara
aaja meri raaton men lahak raha re tera kajara
der se lehron men kamal sambhaale huva man ka
jeevan kaal men bhatak raha re tera hansa |
Song#: 389 | Movie: zamane ko dikhana hai | Singer(s): asha bhosle | mohd. rafi | | | Music: rahul dev burman | Lyrics: majrooh sultanpuri | | poochho na yaar kya huva
dil ka karaar kya huva
tum pe to hum mar mite hain abhi se
jaane humara aage kya hoga
aage kya hoga
aage shaadi
hum ko mil gayi duniya pyar ki
maana ho gaye tum mere apne
phir bhi yeh sawaal dil men yeh khayaal
na ho yeh kahin door ke sapne
yeh ab ki baar kya huva
dil ka karaar kya huva
aur phir kya hoga
partiyaan daawaten
apne paas kya armaan ke siva
yun to main tumhen aur kya doongi
jo bhi hai mera main aur mera pyaar
tum pe ek baar sab loota doongi
ho chaahoge to main dekhoongi tumhen
kah doge to phir sar jhuka loongi
hay dildaar kya huva
dil ka karaar kya huva
are baba tum bhi to kuchh bolo na
yeh baat hai to suno
chhodo jaan e jaan tum bhi ho kahaan
ghabraate nahin hum zamane se
dekho to idhar kis ka hai jigar
uljhe aap ke is diwane se
ho uljhe hazaar kya huva
e mere pyar kya huva
apni khushi hogi yeh zindagi hogi
is ke siva aur aage kya hoga |